May 30, 2012

tum yaheen ho ..


Chaand ko khat likhnaa, raat ki syaahi se ..
jahan tum milo, chaandi ki barsaat waheen ho ..

Waqt tham jaaye sitaaron ko keh dene bhar se .. 

har lamhe ko humaari mohabbat par itnaa yakeen ho  

Ek bheegi si guzaarish karnaa, kaaynaat ke zarre zarre se ..
jis taraf nazar thehre, aasmaan hi zameen ho 

Baadlon ke haath bhejnaa, suraj ko sandesa ye..
jis raat tum aao, us raat ki subah naheen ho ..


aankhon mein hi thehar jaana ban ke khwaab mere ..
mujhe har waqt ehsaas rahe tum yaheen ho ... yaheen kaheen ho

May 28, 2012

kuch sard lamhe ..



Bad.ghumaan tha ki sab dard beh gaye aankhon se ..

kuch aansoo aaj gale mein atke pade mile ..

Kahaaniyon mein piro dene se alfaaz khatm nahi hote ..
kuch lafz aaj bhi dil ke kone mein pade mile ..

Uns ke har lamhe ko sadiyon sadiyon nibhaaya maine ..
kuch sard mun'jamid lamhe aaj yaadon mein pade mile ..

Aasman ki har baarish ko nichod kar sukhaya maine ..
kuch poshida baadal aaj meri aankhon mein pade mile ..

May 26, 2012

Dekh Khud ko ..


Naa tujhse aage koi zameen ..
Naa jannat koi tere baad ..
Jahaan hai tu .. waheen mera aasmaan bhi hai ..

Naa tujhse pehle koi aarzoo ..
Naa koi tamanna tere baad ..
Jahaan hai tu .. Waheen mera itminaan bhi hai ..

Naa tujhse ek pal pehle zindagi ..
Naa tujhse ek pal baad..
Jahaan hai tu .. Waheen mera jahaan bhi hai ..

Kaheen door ..



Jab apni awaaz mein tum mera naam lete ho .. 

Kaheen door baarish hoti hai ..

Kaheen door jab baarish hoti hai .. 

Meri paayal pe chaandi chadhti hai ..

Jab meri paayal par chaandi chadhti hai .. 

Chaand bibi baadlon ka shawl odh leti hai ..

Baadal odhe ye chaandni jab mehekne lagti hai .. 

Raat ki raani gungunaane lagti hai ..

Raat ki raani jab gungunaati hai .. 

Door kaheen se pariyaan dharti pe utarne lagti hain ..

Jab pariyan dharti pe utarne lagti hain ..
Tumhaare naam ki baarish hoti hai .. 

Gumshuda saansein...


gumshuda saansein, naaraaz dhadkanein ..
kuch ruk saa gaya seene mein aaj ..

ek dard ki kahaani .. meri zubaani ..
kitna lutf aa raha hai jeene mein aaj ..

tanhaai mein raat ki numaaish aur chaand se shikaayat ..
kuch aur hi baat hai jaam peene mein aaj ..

saath le gaye pehchaan bhi, humein pehchaanne wale..
khud ko hi dhoondte hain aaine mein aaj ..

May 13, 2012

To Rana Aapa.. with love (from Anu & Inder)




Paakeezaa chaandni se zyaadaa.. chaand se bhi pyaaraa..
Farishton ke maanind.. nuur e rukhsaar tumhaaraa..

Numaayaa rahaa.. nihaayat shireen lehje mein..
Qisso'n aur loriyon saa.. har ek alfaaz tumhaara..

Gunguni dhuup saa.. shafqat ka koi lams liye...
Ghamon ki barf.. pighlaa deti ho.. jaane kaise..

Aangan mein hon.. bikhre tamaam phuul o mehek..
Bahaar le aati ho.. hans ke yun hi.. jaane kaise..

Aa'ed karke tamaam qaaede.. daair e maskan..
Farz o nisbat pe yun.. khud ko nisaar karti ho..

Baandhe rakhti ho.. puure aashiyaan ko.. tum is qadar..
Maa! Kaise tum hum se.. itnaa pyaar karti ho..


May 2, 2012

Is ummeed se ..





Is ummeed se bana deti hoon gham ke haseen mahal yahaan ..
shayad tere dard ko kuch der panaah mil jaaye

Is ummeed pe gaon se peepal ki chaaon le aayi hun ..
shayad wo musaafir thak kar ek pal yahaan beth jaaye

Is ummeed pe nikaali hai waqt ki almaari se wahi puraani kitaab ..
shayad khul ke rone le liye tujhe koi dastaan mil jaaye

Is ummeed pe aankhon se suna rahi hoon dil ke nagme tujhe ..
shayad tujhe aaj apni aakhiri sazaa mil jaaye

Is ummeed mein khuda se roz dua salaam karte hain ..
shayad ek udhaar si hasrat ko uski razaa mil jaaye

Is ummeed pe tujhe tere hi dil ki baat bataati hoon ..
shayad tujhe phir se jeene ki wajah mil jaaye

Is ummeed se roz tere dard ko apne aansuon se dhote hai ..
tum zindagi jee lo hans kar, mujhe tere hisse ki har kazaa mil jaaye

Is ummeed se uske dil mein ek baar utarna chaahte hain ..
shayad meri rooh ko usme apna makaan mil jaaye 

chaand chup tha magar ..


Khwaab tootne ki aawaaz nahi hui magar
aankhon se geela kaanch behta raha ..

Aasmaan mein dekha to chaand chup tha magar
jheel se apni daastaan kehta raha ..


Khawaaishon ke makaan ki diwaarein pakki thi magar 
lehron mein raet ke mahal sa dehta raha ..

Sehma sehma hai ye lamhon ka darpan
koi ajnabi ab tak mujh mein rehta raha ..

Sadiyon se isi baarish mein sookh rahi hoon main
meri aankhon ka saawan samandar se gehra raha ..