August 22, 2012

Ab jee nahi chaahta ..



Tu bewafa to nahi, ye humein bhi pata hai magar ..

Ummeed koi rakhne magar, ko ab jee nahi chaahta ..

Rang rang se nahaya hai chaman ka kona kona ..

kisi rang mein rangne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Aankhon mein kitne mele hain haseen nazaaron ke ..

Inhe nazar mein basaane ko magar, ab jee nahi chahta ..

Labon par yun to jaam chhalakta hai lafzon ka ..
Koi nazm kehne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Kaajal hai, bindiya hai, yun to reshmi choodiyon ke guchhe bhi hain ..

Solaah sringaar karne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Chaand par bhi noor, aaj chaand sa hai ..

Is se chaandni churaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Khat mein ek maafi hai, ghar aane ki guzaarish bhi hai ..

Milne milaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Wo baahein bhi hain jin mein roz dil ko sulaaya karte they ..

Khwaabon mein kho jaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Shaam ka mehrooni kinaara hai, raat ki jheel hai neeli si ..

In mein ghul jaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Tumhaari shehar ki baarish ko kabhi chupaaya tha ek kitaab ke beech ..

Geele panno par apna naam likhne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Kuch khamosh kadam chal rahein hain chup chaap mere saath ..

Inhe hamsafar banaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Unmukt aasman hai, kuch safed baadlon ki ek toli dikhti hai ..

parindon sa udne ka magar, ab jee nahi chaahta ..

Gale ki khraash ki tarah ek naraazgi atki hai seene mein ..

jee behlaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

1 comment: