August 19, 2012

Koi humein jaanta na ho ..



Ji karta hai ki humein jaanta na ho .. 
Is shehar mein humein koi pehchaanta na ho ..

Ek ajnabi ko dekhein jo aaina bhi dekhein .. 
Aaina bhi humein apnaa maanta naa ho ..

Bhare baazaar se bhi guzrein to koi aashnaa naa ho .. 
Hum palat ke dekhenge, ye bhram koi paalta naa ho ..

Sambhlenge naa mujhse duniyaa ke riwaaz o rasm .. 
Rasm nibhaane ka jimma koi mujhpar daalta naa ho ..

Ye kiyaa, wo naa kiyaa, ye rishton ke karz kaise hain .. 
Ek rishta to aisa ho jiska dard saalta naa ho ..

Ye khwaab ke panchhi pakheru ho jaayen .. 
Mere jism ke pinjre se koi pukaarta naa ho ..

Rang na chadhe mere be-rang par kisi kaa .. 
Saanwariya bhi aaye to mujhe sanwaarta naa ho ..

No comments:

Post a Comment