December 27, 2013

Ek shaayar ke paas..


Shabd likhe jaate hain ek dastoor nibhaane ke liye..
Kehne ko wahi puraana hota hai ek shaayar ke paas..

Saal bhar wahi sharaafat ki kameez, ek saabun ki tikiya zindagi..
Paani ki jagah aansoon hote hain ek shaayar ke paas..

Dil mein rakhta hai chhuppa ke ek qayaamat..
Ungliyon mein jazbaat hote hain ek shaayar ke paas..

Imaan tha niyat thi, magar shehar bulaa rahaa tha..
Khisyaayi zidd se bhare huye harf hote hain ek shaayar ke paas..

Ek zimmedaari peedhi badhaane ki, aur naaraaz duniya se algaav ke khat..
Iske alaawa hota hi kya hai ek shaayar ke paas..

2 comments:

  1. kalam ki syaahi mein lipte harf hi mehfuz hote hain ek shaayar ke paas.... :)
    beautiful poem!

    ReplyDelete
  2. Dil mein rakhta hai chhuppa ke ek qayaamat..
    Ungliyon mein jazbaat hote hain ek shaayar ke paas..

    Waah!!! Umda'tareen...
    Salaamat rahiye.
    Likhti rahiye. :)

    ReplyDelete