December 25, 2013

Woh kahaani jo ab..



Mujhse mat puchho mere dil ka haal..
Jo tujh tak pahunche woh alfaaz nahi hain..

Hain toote phoote idhar udhar ek aadh lafz magar..
Mere paas kehne ka sahi andaaz nahi hai..

Woh kahaani jo ab khatm ho chali hai..
Mere paas us kahaani ka koi aaghaaz nahi hai..

Zamaane bhar mein mujh jaisa koi ghaafil nahi..
Aur tujh jaisa koi be-niyaaz nahi hai..

Waqt ka shor aksar bajta hai kaanon mein..
Khaamoshi se behtar koi saaz nahi hai..

Yunhi zikr mausam se hum bhi kar lete hain kabhi kabhi..
Waise shehar ki baarishon mein wo noor-o-naaz nahi hai..

1 comment:

  1. "Khaamoshi se behtar koi saaz nahi hai..".."Yunhi zikr mausam se hum bhi kar lete hain kabhi kabhi..
    Waise shehar ki baarishon mein wo noor-o-naaz nahi hai.."

    beautiful lines! beautiful poem!

    ReplyDelete