April 2, 2014

Gehri silwatein waqt ki..


Umr dikhne lagi hai us par bhi..
Wo gulaab jo kai saalon se ..
Zehan ki kitaab mein band rahaa..

Gehri silwatein waqt ki..
Aur zard aankhon mein khurduri nami ..
Chehre par maano koi kahaani likhi ho..

Aainaa chup tha..
Hothon par sookha sawaal rakhaa rahaa..
Jawaab kya dete, magar nishaan zindagi ke..

Ek khidki be-wajah sochti rahi..
Beete hue din, aakhir kyun..
Laut kar waapis nahi aate..

Dahej mein aaya ek 'cup-plate' couple..
Shaam ki chai par roz..
Honeymoon manaaya karta tha..

Budhe 'cup-plate' ne barson saath nibhaaya..
Pyaar apne kai nishaan chhod ke..
Aakhiri saans letaa hua khidki ki sill par padaa hai..

Khidki ki jaali se chhanti baarish..
kisi ko reh reh kar manaa rahi hai..
Mat jaao, ruk jaao..

Par bhala yun bhi kabhi hota hai..

Beeta hua waqt..
Behta hua paani..
Gulaab ki khushbu..
Aur bachpan..
Kabhi laut kar wapis aaye hain bhalaa..

5 comments:

  1. oh yaar.. beautifull poem :) really... esp. last lines touched :D

    ReplyDelete
  2. bahut khoob.. try to write your poems in Hindi font if possible
    regards
    sarthak
    http://machaltikalam.blogspot.in/

    ReplyDelete
  3. सच आखिर की पंक्तियाँ
    बहुत अच्छी हैं।
    कविता सीधे दिल में उतर जाती है।

    ReplyDelete
  4. Cup plate couple.....what an imagination!! What comparison!!!

    ReplyDelete