November 9, 2013

Tanhaaiyon ke mausam..


Phir tanhaaiyon ke mausam aaye hain..
Phir neend se chhuuti yaariyaan..

Phir khidki ne chaand uglaa hai..
Phir lagne lagi khud se dooriyaan..

Phir aangan mein mehakne lagi raat ki raani..
Kisi ke intezaar ki sainkdon kyaariyaan..

Phir nazm kehne ki aadat se qatraaye..
Khud hi zidd rakhi, khud hi haariyaan..

Phir chhod aaye unke sawaalon ke makaan..
Mehengi padti humko apni jawaab-daariyaan..

Ab taana hai apne aakhiri safar ka samaan..
Karo sitaaron, meri rukhsati ki teyaariyaan.. 

Taareekhein..



Wo bhi kya din they..
Har haseen mulaakat ko sambhaal ke rakhte dil mein..

Teen ko mile, saat ko izhaar,
Dus ko kasmein khaayeen,
Pandrah ko maangi mannatein hazaar..
Bees ko roothe, Ikkis poora din bezaar ..

Baais ko falaana falaana jagah ko aansuon se bhigoya..
Chaubees ko hari chudiyaan khareedi..
Chhabees ko uske coat ke liye ek pin..
 

Sataaees ko sinema hall mein baithe..
magar picture koun dekh paaya..
Yunhi mahina guzar gayaa..

ye tees ko yaad aaya..

Pehli taareekh aayi to office se mili salary se chocolate khaayi..
Do aayi to, lipstick..
Koun jaane koun kisko bigaad raha tha..

Yun hi mohabbat ke din they..
Calendar pe har khaas din ke aage..
ek dil banaaya jaata tha..

Ye kuch saal pehle ki baat thi..

Wo laal dil ab halka pad raha hai..
Pehle rooth_te manaate they..
Ab ladte gurraate hain..

Pehle milte they milne ke liye..
Ek doosre ko takne ke liye..
Ab milte hain puraana hisaab baraabar rakhne ke liye..

Yunhi koi shaam jo milta koi raat ka kinaara..
Lafzon ke shaitaan apna jaal phenkte..
Aansoon aur saal bhar ke ilzaamaat nikal aate..

Behti raat mein beh jaate wo maasoom purumeed lamhe..
jinhone jaane kya soch kar qurbat ki saazish ki thi..

Raat bhar thithurrta rehta thanda chaand..
Raat bhar aasmaan namaaziyon ki tarah jhukaa rehta..

Aaj phir koi saalta hua salaana din aaya..
Hoga shaayad puraana koi lamha..
jo aaj bhi peeth thapthapaayi chaahta tha.

Pyaar jab aaya tha, haseen dinon ki potli laaya tha..
Aaj usmein phir jhaank ke dekhaa..
Pyaar kab ka chala gaya..
Potli mein baaki bas kuch taarikhein reh gayeen thi..

November 3, 2013

Is baar diwali nahi manaani mujhe..



Is baar diwali nahi manaani mujhe..
Kalyug mein siya raam ki jodi nahi bulaani mujhe..

Hai kahaan koi dharm.. Shabri ke ber jaisa ab..
Raam ji ko kadwi beriyan nahi khilaani mujhe..


Sainkadon raavan karte hain gali gali aawaas..
Sita maiyaa ko nari vyatha nahi sunaani mujhe..

Achha hai ki rahein.. mere bhole bhagwan abodh..
Raam ji ko is jag ki asliyat nahi dikhlaani mujhe..

Hain hanumaan yahin magar rehte humse kyon chhupkar..
Asatya se ladti anginat kathaayein nahi sunaani mujhe..

Agnipariksha mein roz jalti hain kitni seetayein hamari..
Anyaay aur apmaan ki chitaa nahi bujhaani mujhe..

Ek hi diya jalta hai, jab jalta hai saara desh..
Apni laachaari aankhon se nahi bahaani mujhe..

Ramti nahi ramaayan.. kaare hridaye ke beech..
Bas, ab is baar diwaali nahi manaani mujhe..

October 15, 2013

Teri yaadon ki umr mein..



Kitna sambhal kar rehne lageen hain tanhaaiyaan..
Tum muskuraa do to koi baat chale..

Safar lamba aur wahi puraana chaand..
Tum gungunaa do, gungunaati hui ye raat chale..

Sitaare milne aayein hain neeli nadi ki pariyon se..
Kaash thodi aur lambi ye mulaakaat chale..

Mere gaalon par rakhdo apne haathon ki angeethiyaan..
Main chup rahun, bas aankhon se barsaat chale..

Teri yaadon ki umr mein zindagi beet chali..
Teri yaad mein hi saanson ki aakhiri baaraat chale..

Kuchh tha toh sahi..


Unko lagta na tha wo aur baat hai..
Kuch pyaar jaisa, magar, tha toh sahi..

Laayein kahaan se suboot dil cheer kar..
Kuchh intezaar jaisa, haan, tha toh sahi..

Ankahi mein rehne ki aadat zaroor rahi hamaari..
Kuchh kuchh iqraar jaisa, magar, tha toh sahi..

Na kehte na sunte they woh aankhon ki sargoshiyaan..
Kuchh aitbaar jaisa, haan, tha to sahi..

October 10, 2013

Kal raat baarishon mein..



Kal raat baarishon mein kuchh kami rahi..
Kal raat baarishein meri aankhon mein thami raheen..

Kuchh sookha kuchh geela tha aankhon mein meri..
Shikaayat jaise koi palkon par jami rahi..

Barson baad ghar kholaa to seelan thi andar..
Khushk mausam they magar yaadon ki nami rahi..

Koun kehta hai maangne se milta hai aasmaan..
Sadiyon tak aasmaan ki talaash mein ye zameen rahi..

Naa koi dard naa hi sahejeen kahaaniyaan humne..
Itne they hoshmand ki maasoomiyat bhi nahin rahi..

Unse kehna muqammal na sahi intezaar kiya tha humne..
Kuchh umr bewafaa nikli, aur yun qismat ki bhi kami rahi..

October 6, 2013

Tumhe tumse churaa loongi..



Tum mere baalon ki paheliyan boojha dena ..
Main tumhaari ungliyon mein waqt rok doongi.

Tum meri rooh mein kahin kho jaana..
Main tumhe apni saanson mein dhoond loongi..

Miloge tum to lafzon ki itni inteha hogi ..
Main apni ankahi se tumhe tumse churaa loongi..

Tum aana sitaaron bhari raat le kar..
Main chupke se tumhe apna chaand maan loongi..

Thoda chalna thoda ruknaa tum mere liye..
Inhi raahon ko apni manzil banaa loongi..

October 1, 2013

Uske khat se aati hai..


Uske khat se aati hai aaj bhi khushboo..
Wo khat jo kabhi usne likhaa hi nahi..

Ek lamba sa intezaar likha hai qismat mein..
Intezaar aisaa ki jisme kisi ka chehra hi nahi..

Hazaar tanhaaiyon ke baad nikla hai ek nanha aasmaan..
Wo aasmaan ke jismein jalaane ko koi chaand hi nahi..

Roz baarish ki talaash aur roz baadalon se jirah..
phir usi saawan ki zidd, jo pehle kabhi aaya hi nahi..

Dil khaali khaali darpan, laakh sanwaara isko..
Kisi ka aqs magar ismein bastaa hi nahi..



Mili hai humko khushiyon ki dhoop bahut..



Mili hai humko khushiyon ki dhoop bahut..
Ab ek diwaani si baarish chaahiye..

Mile hain aadhe adhoore sapnon ke kisse ..
Ab ek mukammal si khwaaish chaahiye..

Mile hain unke paigaam aainon mein ..
Ab ek mohabbat jaisi saazish chaahiye..

Mili hai teri baahon mein panaah humein..
Teri zubaan jaisi meethi si guzaarish chaahiye..

Mile hain ab talak saanson ke makaan humko ..
Ab teri rooh mein rihaaish chaahiye..

September 27, 2013

Bas wo hi nahi milta..




Yun to is duniya mein kya kya nahi milta.. 

Jise chaahte hain bas wo hi nahi milta..

Jism ka baazaar hai yahaan har taraf paani hai.. 
Ek rooh ki talab ko samandar nahi milta..

Raunak e mehfil hai, ek se ek kohinoor hain.. 
Jo jalta rahe raat tak wo chiraag nahi milta.. 

Laakh sitaare hain chaand bhi hai aasmaan mein .. 
Saath chalne waala koi humkhyaal nahi milta..

September 17, 2013

Ek baar dekhaa tha mud ke usne..




Ek baar dekhaa tha mud ke usne.. 
Phir kabhi kyun nahi dekha, sochti huun main..

Aisi bhi kya thi naraazgi jaane usko.. 
Naam tak nahi puuchha, sochti huun main..

Aankhon mein na thi koi khushi ki dastak.. 
Arz-e-gham kyun na tha, sochti huun main..

Mohabbat ki inaayat to na hoti manzoor usko ..
Koi shikaayat hi karta, sochti huun main..

Na karta mere naam har lamha -e- zindagi woh.. 
Zaraa si der ko hi theharta, sochti huun main..

Lakeeron mein naa thi uski aahat shaayad.. 
Wo aa kar bhi naa aaya, sochti huun main..


September 7, 2013

Itni mannatein..


Itni thakaan..
Itni thakaan..
Itni thakaan..
Jism magar..
Kiraaye ka makaan..

Itni chaahat..
Itni chaahat..
 Itni chaahat..
Pahunche manzil..
Phir bhi na raahat..

Itni kahaaniyaan..
Mausamon ki..
Meharbaaniyaan..
Baadal garje they magar..
Naaraaz thi dooriyaan..

Itni minnatein..
Dar pe sajda bhi aur..
Itni mannatein..
Phir bhi milteen hain..
Kahaan Jannatein..

Mohabbat ke maayne..


Usne puuchha hai mujhse mohabbat ke maayne..
Maine hans ke taal diyaa hai..

Wo bola bigad ke 'arre jawaab to do'..
Pehli baar koi sawaal kiya hai..

Main bhi kuch kam naa thi, phat se boli..
Bekaar sa betuka sawaal kiyaa hai..

Tumhe pataa nahi hoga, wo bola khij ke..
Maine bhi kis paagal se sawaal kiyaa hai..

Achha! Main paagal huun?, mujhe bhi chadhi tyoriyaan..
Maine tum jaison ka bahut bura haal kiya hai..

Abbe jaa na chal nikal, usne ek taana phenkaa ..
Dedh pasliyon ko hamesha muaaf kiya hai..

Jaane kisne kis ko pehle maara..
Jaane kisne kiska munh laal kiyaa hai ..

Jaane koun roya pehle..
Jaane kisne bawaal kiyaa hai..

Aur phir bahut roye dono gale lag ke..
Koun jaane kisne kis ko sambhaal liyaa hai..

Mohabbat ke maayne dhoondne waalon ko..
Mohabbat ne khud apna jawaab diya hai..

August 28, 2013

Zindagi jaisi hai waisi dikhaa bhi kare..



Zindagi jaisi hai waisi dikhaa bhi kare..
Naaraaz ho mujhse to shikwaa bhi kare..

Dard ho to maange na dawaa mujhse..
Dukh ho to mujhse baantaa bhi kare..

Ye kya ki baithi rahi chupchaap khud ko kosti..
Koi pathar ho seene par to aah bhi kare..

Maano baadalon ko de chuki baarishon ki pyaas..
Kirkiri ho aankhon mein to khud roya bhi kare..

Hairaan huun main..



Itni baar dil qatl -e- aam hua hai..
Dhadakta ab bhi hai, hairaan huun main..

Itni baar bikke hain gair ke haathon hum..
Keemat ab bhi hai, hairaan huun main..

Nabz utha ke dekho koi harkat nahi baaki..
Zindagi ab bhi hai, hairaan huun main..

Kasam -o- wafaa kab ke bichhad gaye par..
Rasm ab bhi hai, hairaan huun main..

Mukammal hue hain jazbaat ke samandar..
Kahaani ab bhi hai, hairaan huun main..

Yaaron mujhe le chalo ek naye jahaan mein..
Ye jahaan ab bhi hai, hairaan huun main..

August 13, 2013

Do minute ka maun..

Mazdoor ke ghar kahaan bachche paida hote hain..
Mazdoor ke ghar bas mazdoor paida hote hain..


Tu aaye..


Mujh mein ho shaamil ki mujh par shaayri ka rang aaye..
Ho shaamil yun ki mujh ko jeene ka dhang aaye..

Ho itna kareeb ki tujhe pukaarna na ho..
Main kahin bhi mudduun tu manzil tak sang aaye..

Ho chaahe suuni suuni duniya bhar ki raahein..
Tu saath ho to tanhaayi mein bhi tarang aaye..

Hain aadhi adhoori saanson ki ladiyaan sabhi..
Tu muskraaye to zindagi mein zindagi si umang aaye.. 


Doob jaayein hum paagalpan ki hadd mein..
Ishq par suroor aaye to aur bhi malang aaye..

yahaan wo baat kahaan..



Koun puchhega dil ka haal yaahaan..
Ye shehar hai yahaan wo baat kahaan..

Jaam-e-dil bezaar hai aur dard se labrez hai..
Dua mein bhi toh nahi milti dawaa yahaan..

Koi rasam chaahta hai.. koi sirf jism se khush hai..
Koun chaahta hai sachchi kasmein yahaan..

Shor rehta hai duniyabhar ke bazaaron ka..
Bajti hain kaanon mein wo shehnaayiaan kahaan.. 


Aasmaan se jo girta hain wo dikhta nahi..
Aankhon se jo girta hai koun dekhega yahaan..

Tukur tukur dekhe..


Tukur tukur dekhe chaand..
Maathe par zulfon ki athkheliyaan..

Soti thi raajkumaari kachi neend mein..
Purwaai ka jheena jhalti thi pariyaan..

Haath mein kangna chamakta tha reh reh kar..
Ghungruu mund they muskuraati thi baaliyaan..

Dupatta badmaash, palang se ladta gaya..
Raat ko bhool gaya din ki yaariyaan..

Sapne mein shayad bhanwra chhed raha hoga..
Sote sote maathe par chad rahi thi tyoriyaan..

Raat ki raani mehkti rahi halki halki..
Sheetal si chaandni phir sunaaye loriyaan..

Suraj halke se bola, chalo chaand miyaan, ab meri baari..
Chaand chal pada, mann hi mann dete hue gaaliyaan..

Tukur tukur dekhe aaftaab..

Neend to khul gayi raajkumaari ki..
Baaki hai magar palkon ki choriyaan..

July 26, 2013

Koun jeeta hai yahan khud apne vaaste..



Koun jeeta hai yahan khud apne vaaste..

Zindagi jeete hain hum rishton ke liye..

Din kaat lete hain sooraj se udhaar maang maang kar..
Zara si roshni ki khaatir waqt ko kishton mein jiye..

Dard puraana, dawaa jaan se zyaada mehengi..
Shikwa bhi tha magar honth khud-ba-khud sii liye..

Ghar hai, rooh aawaara phirti hai magar..
Khud se rahi bewafa, sabhon se laakh waade kiye..

Humnaam kyun hamaare hum se zyada piyen..
Ek kash zindagi, dhuen mein dhoond ne ke liye..

Rozgaar ki niyat bhi kaisi hoti hai doston..
Kaarobaar khoon paseene ka, do kaudiyon ke liye..

Dekho Naa.



Gehra rahi hai raat dekho naa..
Raat ke jhoolne pe nanha chaand.. dekho naa..

Waqt leta hai chhat pe bistar lagaa kar..
Hogi aaj khaas lamhon se mulaakaat .. dekho naa..

Muunh mein mishri ki rakh ke goliyaan..
Pariyon ki baatein karte hai gulaab.. dekho naa..

Jaate jaate raat ke jugnuon ki sharaarat..
Tanhaayi ko kar gaye sharaab.. dekho naa..

Samete hai khud mein kahaaniyaan kayi..
Baadalon ke jhurmut, zindagi ki kitaab .. dekho naa..

Taaron ki chhaon mein yaadon ki mehfil..
Khwaabon ke kaafilay kar gaye betaab.. dekho naa..

July 20, 2013

Chal phir se banaate hain..



{claps, claps, claps}

Tum jiyo 'hajaaron' saal saal ke din ho.................
stupid..
idiot.. ye kya kiya ..
maine itni mushkil se banaya tha..
pata bhi hai kaise banaate hain..
toot bhi gaya
:(
kya yaar..
tu chain se khada nahi ho sakta kabhi..
saara cake khraab kar diya..
uff
shut up..
baat mat kar mujh se..
such a restless duffer..
kya kiya tune..
dekh..
theek bhi nahi hoyega ab..
tu hi kaat le isse ab..
main nahi aa rahi..
...
..
.

Ruk
ruk yaar..
Kahan jaa rahi hai..?
tera dimaag kharaab hai..?
aaj bhi ladaayi karegi..
Hadd ho gayi..
maine jaanboojh ke giraya kya..
bol.. bol naa..
tu idiot..
tu stupid..
Achha dekh sorry..
tune bahut mehnat ki hogi na..
maine sab kharaab kar diya..
sorry..
achha bata.. kya kya daalte hain isme..
flour..
butter..
chocolate..
aur?
main help karta huun teri..
tu meri help kar na..
please aaja..

Chal phir se banaate hain..

July 13, 2013

Nazar utha bhi paaun main..



Jinse dil, dil hi dil mein baat karta ho..
Wo yun saamne aa jaayein, to baat kya karuun..

Unki aankhon mein hon anginat jawaab magar..
Nazar utha bhi paaun main, to sawaalaat kya karuun..

Sambhal sambhal ke rakhe hain kadam unki raah mein..
Badmaashi se haath thaam lein wo, to ehtiyaat kya karuun..

Khwaabon mein jo milte hai humein chaand ke zeene tale..
Bhari mehfil mein gar bulaayein, to mulaakaat kya karuun..

Jinse mil chuki huun main pehle kai baar bhi..
Unse phir mohabbat ki shuruaat kya karuun..

Jo meri rooh ko dubo de apne nigaahon ke samandar mein..
Wo mere shehar aaye to kahiye, barsaat kya karuun..

Geele geele chaand ka baadalon se yuun kehna..
Kaise aaun, ki dekh rahi hai ye raat, kya karuun..

July 6, 2013

Bhuul Jaaya Karo..



Chhota mota ho to bhuul jaaya karo..
Zara si udaasi ke liye gham ko na bulaaya karo..

Hoteen hai zindagi mein majbooriyaan kayi..
Na reh reh kar aasmaan sar pe uthaaya karo..

Gareeb ko dekho kaise patharon se khelte hain ..
Khilonaa tumhara tuut jaaye to na aansoo bahaaya karo..

Aas paas dekho, kis ka dil hai jo toota nahi kabhi..
Baar baar na mandir ke ghante bajaaya karo..

Koi dost naraaz ho to kya duniya se rooth jaaoge..
Ek tooti dosti ke liye na dil ko jang lagaaya karo..

Tum akele to nahi jo naakaam hue ho..
Apni nakaami ka bhi jashn manaaya karo..

Apni mushkilein hi hoti hain jo saath nibhaati hain..
Aur tumhaara koun hai khud ko samjhaaya karo..

Hota hai chalta hai duniya mein bahut kuch..
Rote rote na jeevan bitaaya karo..

Aadmi gar meetha hai to thoda zehriila bhi hai..
Chot gar halki ho to hans ke sehlaaya karo..

Chhota mota ho to bhuul jaaya karo..
Zara si udaasi ke liye gham ko na bulaaya karo..

-----
** Photo from the web. 

June 8, 2013

Maano raat ek kamra ho..



Maano raat ek kamra ho, aur chaand ek diya ho..
Hum hon aur kisi shararti bache ne..

baahar se taala band kiya ho..

Din bhar chaahe duniyaa dhoondaa karein humein..
Raat ko duniyaa mein sirf main aur mere piyaa hon..

Kehne ko dil mein ho bahut kuch magar..
Hothon ne ye kaam aankhon ko diyaa ho ..

Baadlon ka bistar ho taaron ki chaadar ho..
Mohabbat ke lams ne humein phir maasoom kiyaa ho..

Ek gilaas mein neeli jheel utri ho poori ki poori..
Ek ghoont samandar humne bhi pii liyaa ho..

Khaamoshi ka ek ek qatra aaine mein simat aaye ..
Har pal mein ek sadi ko humne jiyaa ho..