December 29, 2012

tum chali gayi ho Damini..



tum chali gayi ho Damini..
bina bataaye chali gayi ho..
badi behan huun tumhaari..
mujhe bina rulaaye chali gayi ho..

duppatta maila kiya is desh ne..
to safed chaadar odh ke chali gayi ho
apne rang dekhne they tumhe abhi..
tum mujhe berang kar ke chali gayi ho..

tumhaara har ek aansoo jo nahi bhi giraa tha..
uske qatre meri aankhon mein rakh chali gayi ho..
tum mujhe nahi jaanti ho meri behna phir bhi..
tum mujhe sharminda kar ke chali gayi ho..

abhi to chhutki, tumhara kanyadaan baaki tha..
tum balidaan de ke chali gayi ho..
na gehna na zevar, bas laal rang pehne hue..
bina doli mein baithe chali gayi ho..

tum thehro main sambhaalungi tumhe.. 
dard samjhungi..tumhaari hi kahaani sunaaungi tumhe..
tum kyon bina shikaayat kiye chali gayi ho..

ab apne paas rakhungi tumhe..
ab bahut waqt hai.. na, na .. aise nahi vidaa karungi tumhe..
tum kyon bina gale lagaaye chali gayi ho..

arrey, antim vidaai ka bhi ek saliqaa hota hai..
tum kaise hum sab par muskuraa ke chali gayi ho..

==

Rest In Peace, Damini. 
We are also resting in peace.



December 27, 2012

Shaam Saloni..



Aaj phir naa aaya chaand waqt par.. 

Shaam phir budbudaa ke reh gayi ..

Intezaar mein raat ki neend bhi chhooti .. 
Shaam ki pari gusse mein gurra ke reh gayi..

Ye chaand gora hai to kya itna akdega.. 
Shaam saloni kasmasaa ke reh gayi ..

Bekar gaya chameli ka itr aur ye naya laal dupatta .. 
Shaam ki shokhiyaan chidchida ke reh gayi ..

Gali mein nikal aaya chaand, chaand apne ghar aayega.. 
Shaam ki sharmeeli chidiya aur sharmaa ke reh gayi..

December 26, 2012

Tere liye..




Tinka tinka jutaaya khud ko zindagi ke liye .. 
Lutaa diya khud ko teri bandagi ke liye.. 


Shehar mein tujh sa deewana koi bhi nahi..
Ishq bhi tujhpe kurbaan hai teri saadgi ke liye..

Yun har pal saikdon baar tujhe paaya hai khud mein.. 
Yun waqt o kaaynaat bhi kam hai aashiqui ke liye .. 


Mujh mein mukkammal tha mera chaand muddaton tak .. 
Phir ek umr bitaayi teri saanson ki chaandni ke liye..



December 25, 2012

seedhe seedhe..



Kya zindagi ke badle roz jaan le lete ho meri.. 

Jitnaa waajib ho utnaa daam maango na..

Tabiyat zaraa nasaaz rehti hai aajkal.. 
Kya haal hai mera ye hisaab maango na..

Kyon dil mein ruke ruke sawaal rakhte ho.. 
Jo bhi chaahiye wo khule-aam maango na..

Kyon chhoti moti baaton ke liye tokte ho mujhe.. 
Chahiye to seedhe seedhe meri jaan maango na..

December 24, 2012

Sab chaahte hai milnaa ek aise dost se..



Sab chaahte hai milnaa ek aise dost se.. 

Jo dard samajhta to ho par samjhaata naa ho..


Din mein waqt ki taal pe chaahe chaltaa rahe.. 
Ratjagon mein waqt ka naam laata na ho..


Khud se bhi chhupaa le wo apne saare raaz.. 
Deewaana ho mera, par kehlaata na ho..


Main beet jaaun, umr reh jaaye uski.. 
Us se bichhadne ka darr mujhe sataata na ho..


Meri har shikaayat pe yun dil lutaata ho.. 
Main bhejun bhi usko, to wo jaata naa ho..


Mujhe mehfil mein bethaa hue dekhe aur dekhtaa rahe.. 
Dil jalta ho uska, par wo mujhe bulaata na ho..

Girne de wo mere aankhon se aansoo.. 
Jhooth keh ke mera dil behlaata na ho..

December 23, 2012

Ab bas ek deewaar baaki hai..



Ek ghar hua karta tha yahaan.. 

Ab bas ek deewaar baaki hai..

Darwaaza pe nahi koi dastak magar.. 
Abhi sadiyon ka intezaar baaki hai..

Chuulhe pe ab sikti nahi chaand ki rotiyaan.. 
Ab wahaan raakh ke kuch nishaan baaki hain..

Wo tulsi jo sirf maa ke haathon hi paani piya karti thi.. 
Uske patton pe ab bhi pyaas baaki hai..

Wo ek kambal jisme chheh angoothe aapas mein ladaa karte they.. 
Usme bachpan ki yaadon ka saamaan baaki hai..

Chaarpaayi ki rassi kaste kaste chaarpaayi pe hi dher ho gaye..

Us boodhe baap ko bolo, abhi manjhli di ka kanyadaan baaki hai..

Painting by : Vinayak Gokhale

December 22, 2012

Mujhe aadat hai..


Sookhe hue aansuuon ke jazbaat nahi hote..
Mujhe rone ki aadat hai mujhe manaao mat..

Khwaabon se ladaai bhi, khwaabon ki zidd bhi..
Mujhe sone ki aadat hai mujhe uthaao mat..

Aaina churaa le gaya hai aks mera..
Mujhe khone ki aadat hai, mujhe bulaao mat..

Ek hasrat bas raat ko hi haqiqat banti hai..
Mujhe andhere ki aadat hai roshni jalaao mat..

Aatishbaazi khoob ho chuki hain mere armaanon ki..
Mujhe tadapne ki aadat hai mujhe behlaao mat..

Apni rooh mein samandar chhupa rakha hai maine..
Mujhe doobne ki aadat hai mujhe bachaao mat..

Har baar ek nayi intehaa kaayam hoti hai dard ki..
Dil jalaane ki aadat hai mujhe, mujhe samjhaao mat..

Hathkadiyaan is baar zaraa lambi lagii hain..
Marne ki yun bhi aadat hai mujhe, zinda magar dafnaao mat..

December 21, 2012

Ek mulaakat abhi baaki hai..




Subah ho gayi magar ye haseen raat abhi baaki hai..
Mere khwaabon se taaza taaza nikli .. ek mulaakat abhi baaki hai..

Raat ke khwaabon ne dhoka diya ki tu aas paas hai..
Subah ki pehli karwat mein tera ehsaas abhi baaki hai ..

Tere ankahe izhaar is kamre mein behte hain narm se..
Taakte hai mujhko, ki mere ikraar abhi baaki hai ..

Mez pe rakhi kitaab mein tere naam ka phool rakh ke soye the..
Us gulaab ko bhi tera deedaar abhi baaki hai ..

December 19, 2012

Kahaan hain




Kahaan hain wo haathon ki lakeerein ..
Barson se jin mein tumhaare naam ki kahaaniyan chhupaayeen thi ..

Kahaan hain wo chaand taaron si taqdeerein ..
Sadiyon se jinke liye maine aankhon mein raatein basaayi thi .

Kahaan hain wo yaadon ke mulaayam pashmine ..
Pichhli baar tere jaate hi jo rooh se lipat aaye the..

Kahaan hain wo saawan ke do reshmi mahine ..
Jahaan tumne mujhe ek geele se jhoole par jhoole jhulaaye the ..

Kahaan hai wo sulagti thandi baarishein ..
Jis ke paani mein khwaabon ke safeene chalaaye the ..

Ye shaayar kism ke log..



Lafzon se behlaa lete hain gham e dil apna..
Ye shaayar qism ke log bade samajhdaar hote hain..

Chot khaa to lete hain par kabhi bhoolte nahi..
Dil, in shaayaron ke, bahut khuddaar hote hain..

Ye puraani maasoom yaadon ka kaagaz par khoon bahaate hain..
Ye shayar bina jurm kiye bhi gunahgaar hote hain..

Safed chaadron ke beech baith ke rangeeniyat bechte hain..
Ye shayar, jism-o-rooh nahi sirf kirdaar hote hain..

Kisi ke dil ki suni to apni bhi kahaani pe ro pade..
Ye shayar log khaamkhwaah bewajah aur bekaar hote hain.

Na ghar ki dehleez se rishta na darwaaze pe koi dastak..
Ye shayar khud se bhi dastbardaar* hote hain..

Liye chalte hain bagal mein badnaami ka ijaazat-naama ..
Ye shayar khud apni hi tabaahi ke zimmedaar hote hain..

Maut haasil hone se pehle hi zindagi rihaa kar dete hain..
Ye shayaraana log bahut laa-parwaah hote hain..

*abandoned

yun zamaane beete..



Hansti to main roz huun magar..
Muskuruaaye hue zamaane beete..

Wo lamha ki jab fursat se aasmaan nihaara ho ..
Chaand se wafaa nibhaaye hue zamaane beete..

Aankhon ne kaajal se roz baatein ki hain..
Hothon pe lafz sajaaye hue zamaane beete..

Khwaab palkon pe rakhkhe rehte hain..
Khwaabon ko aansuon se nehlaaye hue zamaane beete..

Jism ki rangeeniyaan khuub looti hai magar..
Rooh mein doob ke aaye hue zamaane beete..

December 15, 2012

Chale aao ..



Waqt beeta jaata hai tere ek bahaane mein..
Kya mazaa aata hai mujhe sataane mein ..

Kho aayi apni zindagi ek tujhe manaane mein..
Tumhaare siwaa ab kuch nahi mera is zamaane mein ..

Rooth gaye tum mujhse, galat ko sahi banane mein..
Main haar gayi khud ko ek tujhe samjhaane mein ..

Ab bhi waqt hai kya, ankahe waade nibhaane mein..
Meri madad karo, tum ko tumse churaane mein ..

Ek shabd hi shabad ban gaya ho tera naam bulaane mein..
Chale aao ki ab aayatein hai har saans ke paimaane mein ..

kash pe kash..




dhuen mein udaa raha hai gham ke anginat kisse..
kahin door ek dil jalaa zindagi phoonk raha hai ..

raakh girti jaati hai yaadein jalti jaati hain..
ek puraana geela saawan dil mein sookh raha hai..

aankhon mein jalan ke saikdon bahaane rakhkar..
kash pe kash laagaye wo sab kuch bhool raha hai ..

Chalo na..


Suna hai peer baba ki dargaah par sab muraadein poori hoti hain..

Bichhde milte hain ..
Chalo na wahan sar tek kar aate hain ..

Suna hai us mandir ki ghantiyaan jab bajti hain..
Swarg lok tak aawaaz jaati hai ..
Chalo na wahan diya jala aate hain ..

Suna hai us church mein candle jalteen hain..
To kahin baarish hoti hai ..
Chalo na apni hasratein bhi waheen chair par rakh aate hain ..


Wo ladki kab se..


वो लड़की कब से बारिश का इंतज़ार करती है..
दोनो सहेलियाँ फिर मिल के रो लेती हैं .. 

अपनी आँखों में बादल का कजरा लगा कर..
बरसते पानी में अपने आँसू धो लेतीं हैं.. 

आसमानी बूँदों में अपनी कहानी छुपा कर..
अपने सारे दर्द ज़मीन में बो देतीं हैं.. 

तरसती थीं आँखें एक ज़रा सी नींद को..
गीली पलकों में अब सारी सदियाँ सो लेतीं हैं.. 

पायलें जब बात करती हैं पानी के घरौंदों से..
गिले शिकवे सारे पानी में खो देतीं हैं..

यूँ बाँट लेतीं हैं दुख सुख  वो अपने..
अपने किस्से पर मुस्कुरा देतीं हैं.. 
दूसरी की दास्तान पर रो देतीं हैं..


Wo ladki kab se baarish ka intezaar karti hai..
Dono saheliyaan phir mil ke ro leti hain ..

Apni aankhon mein baadal ka kajra lagaa kar..
Baraste paani mein apne aansoo dho leteen hain..



Asmaani boondon mein apni kahaani chhupaa kar..
Wo apne dard zameen mein bo deteen hain.. 



Tarasti theen aankhein ek zara si neend ko..
Geeli palkon mein ab saari sadiyaan so leteen hain.. 



Payalein jab baat karti hain paani ke gharaundon se..
Shikwe gile saare paani mein kahin kho deteen hain..



 yun baant leteen hain dukh sukh wo apne..
Apne kisse par muskura deteen hain.. 
Doosri ki daastaan par ro deteen hain..

Koi tum jaisa kyon nahi hai is duniya mein ..



Pal mein maasha pal mein tola .. 

Thandi si dhoop aur jalte chaand jaisa.. 
Kuch kuch mausam jaisa hai tujh mein ..

Baadalon sa garajta hai tu .. 
Jam ke barasta hai tu .. 
Kuch kuch saawan jaisa hai tujh mein ..


Kabhi phool phool hansta hai .. 
Kabhi hari shaakhon pe jaa basta hai tu .. 
Kuch kuch jaisa bahaar hai tujh mein .


Kabhi lehron sa ufanta hai tu .. 
Kabhi apni hi gehrai mein jaa chhupta hai tu .. 
Kuch kuch samandar jaisa hai tujh mein ..


Meri puraani shaal jaisa lipat aata hai tu .. 
Kabhi hawa sa kaano mein gungunaata hai tu .. 
Kuch kuch raat jaisa hai tujh mein ..


Kabhi meri yaadon mein bheegta hai tu .. 
Kabhi meri ungliyaan choomta hai tu .. 
Kuch kuch barsaat jaisa hai tujh mein ..


Mere har rang mein rang jaata hai tu .. 
Meri har saans mein samaa jaata hai tu .. 
Kuch kuch ishq jaisa hai tujh mein .. 

Mandir mein diye sa jalta hai tu .. 
Mere labon par dua ban ke aa theharta hai tu .. 
Main bolun gar to shaayad gunaah hoga..
par kuch kuch Rabb jaisa hai tujh mein ..

Sochti huun hairaan hoti huun..
Jaanti huun phir bhi puuchhti huun..
Koi tum jaisa kyon nahi hai is duniya mein ..

Aankhon ki saraay mein..



Aankhon ki saraay mein aa baithaa hai..

Ek shakhs bina kiraaye aa baitha hai.. 

Gaalon pe bikhri laali mein uska ehsaas hai..

Wo meri har sharm pe haq jamaaye baithaa hai..

Mere hothon par uske naam ke paigaam hain..
Labon ki nami mein khud ko bheegaaye baithaa hai..

Do heere ke boonde khareed laaya hai kahin se..
Mere kaanon mein aaj chaand sajaaye baithaa hai.. 

Haan, maine galtiyaan ki hain..



Haan, maine galtiyaan ki hain.. 

Maine zindagi zaraa khul ke jii hai..

Jeb mein paise nahi they aur khwaab bhar liye.. 
Sitaaron se aage ki bhi ticket khareedi hai..


Bin daakiya kismat ko ek khat bhejaa hai.. 
Postage ki jagah bas prayers chipkaa di hain..


Baadalon se dosti karne ka mood hua to .. 
Baarishein saari aankhon mein bhar leen hai..


Aasmaan mein udne ko pankh kahaan se laati.. 
Neeli nadi uuk banaa ke pii li hai..


Raat ne uksaaya chaand ki dali todne liye .. 
Ek chakh mishri maine bhi khaa ke dekhi hai..

November 1, 2012

Sirf tumhaare liye..



Ye dekho mere takiye pe do khwaab rakhe hain.. 

Tumhaare sawaalon ke saare jawaab rakhe hain..

Yun meri duaaon ka noor bhi hai aasmaan mein..
Lagta hai raat ke aagosh mein, aaj do mehtaab rakhe hain..

Har pal meri nigaah dhoondti hai tumhaari nigaah ke lams.. 
Meri aankhon mein kuch armaan, bahut betaab rakhe hain..

Tum aaoge aur maangoge apne hisse ki daulat.. 
Isliye har din aur raat ke saare hisaab rakhe hain..

Ye jo chaahaton ki puuri kitaab uthaa laaye ho.. 
Mere paas bhi khwaaishon ke panne, behisaab rakhe hain..

Jaanti huun tumhe phoolon ka shauk nahi..
Phir bhi sirf tumhaare liye, ye hothon ke gulaab rakhe hain..

October 31, 2012

In aankhon mein aaj..

In aankhon mein aaj..

Do raat ki baasi neendein hai..
Kuchh khwaabon ka chuura .. 
Ek dil tootne ki aawaaz .. 
Aur ek chaand adhuura.. 

Bediyon se sawaal hain.. 
Aadhe adhhure jawaab hain.. 
Udhde udhde kisse hain.. 
Aur ek kadwi si sharaab hai.. 

 Duniya hai dard hain.. 
Ek puraana mausam zard hai.. 
Raat ka sannaata hai.. 
Tanhaayi bahut hi sard hai..

Ek udaas si baarish hai..
Waqt ki tez saazish hai.. 
Hum bhi ro lein do pal ke liye.. 
Badi maasoom si khwaaish hai.. 

Nigaah ke har panne par tere nishaan hain..
Sehme sehme sapno ka khaali khaali makaan hai..
In aankhon mein aaj ..
Bahut saare nanhe mehmaan hain.. 


October 29, 2012

Kahin raaste par mili mujhe zindagi..




Kahin raaste par mili mujhe zindagi..
Main bhi zidd mein rahi ki nahi hi milungi..

Mujhe apne gham se fursat kahaan ki iski aur dekhun ..
Mehmaan-nawaazi ki bhi haqdaar nahi zindagi ..

Main apne chaand-taaron baadalon mein hi khush huun..
Mujhe nahi chaahiye ab ye daulat-e-zindagi..

Jaa ke padhe zaraa meri puraani diary ke panne..
Jab khwaab toot rahe they, tab kahaan thi zindagi..

Aaj bin mausam barsaat barasne aayi hai mujh par..
Jab aansuon se bheeg rahi thi main, tab kahaan thi zindagi..

Khud ke jee mein aaya tab milne aayi hai..
Abhi tak kahaan thi ye abhimaani zindagi..

Wo bhi waqt tha jab dost bhi duniya ho gaye..
Main pareshaan hairaan khadi thi, tab kahaan thi zindagi...

Maine marna seekh liyaa to jal bhun gayi hai..
Jab dard se pukaara tha, tab kahaan thi zindagi..

Beinteha tanhaaiyon mein akeli rahi hoon..
Tab nahi aayi to ab kyun aayi hai zindagi..

Main zidd mein huun ki nahi hi milungi..
Mujh se gale lipat ke rone aayi hai zindagi..

October 14, 2012

Ye kya sach mein apne hain..


Dil sochtaa hai to sochtaa hi reh jaata hai .. 
Ye jo apne hain kya sach mein apne hain ..

Ye jo mujhe duniya ki reet samjhaate hai .. 
Ye dost meharbaan kya sach mein apne hain ..

Zamaane ke darr se mere sapno ko daraate hain .. 
Mujhe dil-o-jaan se chaahne waale ye kya sach mein apne hain ..

Udnaa chaahun to mere toote pankh ginwaate hain .. 
Mere mukkadar ke haami ye kya sach mein apne hain ..

Main manzil ki aur dekhti hun, wo raah ke kaante dikhaate hain .. 
Mere safar ke humraahi kya sach mein apne hain ..

Waqt bewaqt mujhe waqt ka taqaaza dete hain .. 
Har waqt ke ye saudaagar kya sach mein apne hain ..

Rishton ki chaadar hai ya kafn hai mere armaanon par .. 
Mere janaaze pe rote hue mere hamdard mere apne ..

.. Ye kya sach mein apne hain ..

October 9, 2012

chaand bhi roya karta hai ..



Ye raat jaanti hai ki chaand bhi roya karta hai ..

Halka halka nimma nimma, aasmaan bhigoya karta hai ..

Har shaam khaamoshi se raat ki chaadar odha karta hai ..
Taaron ke daaman mein chanda mera, tanha soya karta hai .. 

Gumsum gumsum baitha baitha, yaadon mein khoya karta hai ..
Ye chaand apne dil par kitne dard dhoya karta hai .. 

Pedon ke peechhe chhup ke munh aansuon se dhoya karta hai ..
Jaane chanda kis pagli ke khwaab sanjoya karta hai ..

September 27, 2012

Wo bhi kya din they jab ..



Saans rukti hai ab har saans se pehle ..

Wo bhi kya din they jab bedhadak jiyaa karte they ..

Ab taraste hai zindagi ke ek pyaale ko ..

Wo bhi kya din they jab unki aankhon se piyaa karte they ..

Gumnaam sa rehta hai mere naam ka samandar ..

wo bhi kya din they jab lehron pe jiyaa karte they ..

Dhoondhte phir rahe hain aashiyaana shehar shehar ..

Wo bhi kya din they jab unki baahon mein raha karte they

Bekhyaali mein haath badhaya kisi ne, to yaad aaya ..

Wo bhi kya din they ki honthon se chhuu liyaa karte they .

Poochhte bahut hain wo, humein hi jawaab na dena aaya ..

Wo bhi kya din they ki hum haq se gilaa karte they ..

Aaj dekh kar bhi andekha kar gaye hain humein ..

Wo bhi kya din they ki wo rastaa rok liyaa karte they ..

Aaj maang liyaa waqt to ruswaa ho gaye ..

Wo bhi kya din they ki apni jaan diyaa karte they ..

Aaj naam leke bulaaya, kuch kaam tha shayad..

Wo bhi kya din they ki bewajah piya piya karte they ..

Aansuon ki barsaat dekh aur ziyada baras pade hain hum par..

Wo bhi kya din they ki geela kaajal choom liyaa karte they ..

Udhaar rahe waade, abhi to dard mein lipti hoon main..

Wo bhi kya din they ke hum koshish kiyaa karte they ..

August 25, 2012

Yaadon ka samandar ..



Uthta hai jo teri yaadon ke samandar se ..
Lamha wo bhi, phir doob jaata hai tanhaayi mein ..

Banjaare ki tarah khaanabadosh hai mera muqaddar bhi ..
Humne zindagi basar ki ruswaayi mein ..

Kehne ko to dil mein kai dard hain baaqi magar ..
Mere alfaaz ghut rahe hain milon faili judaayi mein ..

Naa aaya saleeka, dil ki kuch keemat lagaate ..
Hum hairaan pahunche khud apni tabaahi mein ..



August 22, 2012

Ab jee nahi chaahta ..



Tu bewafa to nahi, ye humein bhi pata hai magar ..

Ummeed koi rakhne magar, ko ab jee nahi chaahta ..

Rang rang se nahaya hai chaman ka kona kona ..

kisi rang mein rangne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Aankhon mein kitne mele hain haseen nazaaron ke ..

Inhe nazar mein basaane ko magar, ab jee nahi chahta ..

Labon par yun to jaam chhalakta hai lafzon ka ..
Koi nazm kehne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Kaajal hai, bindiya hai, yun to reshmi choodiyon ke guchhe bhi hain ..

Solaah sringaar karne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Chaand par bhi noor, aaj chaand sa hai ..

Is se chaandni churaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Khat mein ek maafi hai, ghar aane ki guzaarish bhi hai ..

Milne milaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Wo baahein bhi hain jin mein roz dil ko sulaaya karte they ..

Khwaabon mein kho jaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Shaam ka mehrooni kinaara hai, raat ki jheel hai neeli si ..

In mein ghul jaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Tumhaari shehar ki baarish ko kabhi chupaaya tha ek kitaab ke beech ..

Geele panno par apna naam likhne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Kuch khamosh kadam chal rahein hain chup chaap mere saath ..

Inhe hamsafar banaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Unmukt aasman hai, kuch safed baadlon ki ek toli dikhti hai ..

parindon sa udne ka magar, ab jee nahi chaahta ..

Gale ki khraash ki tarah ek naraazgi atki hai seene mein ..

jee behlaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

August 19, 2012

Aaj phir ..



Aaj phir bediyon mein mera zurm khadaa hai ..
Aaj phir sharmindaa ye jism khadaa hai .. 


Aaj phir hum jawaabon ke munh taakte hain .. 
Har jawaab par ek naya sawaal khadaa hai ..

Aaj phir khud se naaraaz baithe hain ..
Aaj phir dil hairaan khadaa hai ..

Aaj phir raat se panaah maangte hain ..
Aaj phir ek suraj mujhko roke khadaa hai ..

Aaj phir apni nigaah ko parde mein band kiyaa ..
Aaj phir khwaabon ka parindaa bebas khadaa hai ..

Aaj phir awaragi se samjhauta kiya hai ..
Aaj phir mera saaya pareshaan khadaa hai ..

Aaj hi badan par se zindagi ke nishaan utaare hain ..
Ek besharam jism phir apni kahaani liye khadaa hai ..

Aaj phir samandar se aansoo churaaye hain ..
Aaj phir saahil pe mera imaan khadaa hai ..

Aaj phir zameen in haathon mein simatne lagi hai ..
Pairon mein tanhaayi ka aasmaan khadaa hai ..

Aaj phir jeene ki tamanna se ghabraa gaye hain .
Sar pe maut ka bashindaa zidd leke khadaa hai ..

Koi humein jaanta na ho ..



Ji karta hai ki humein jaanta na ho .. 
Is shehar mein humein koi pehchaanta na ho ..

Ek ajnabi ko dekhein jo aaina bhi dekhein .. 
Aaina bhi humein apnaa maanta naa ho ..

Bhare baazaar se bhi guzrein to koi aashnaa naa ho .. 
Hum palat ke dekhenge, ye bhram koi paalta naa ho ..

Sambhlenge naa mujhse duniyaa ke riwaaz o rasm .. 
Rasm nibhaane ka jimma koi mujhpar daalta naa ho ..

Ye kiyaa, wo naa kiyaa, ye rishton ke karz kaise hain .. 
Ek rishta to aisa ho jiska dard saalta naa ho ..

Ye khwaab ke panchhi pakheru ho jaayen .. 
Mere jism ke pinjre se koi pukaarta naa ho ..

Rang na chadhe mere be-rang par kisi kaa .. 
Saanwariya bhi aaye to mujhe sanwaarta naa ho ..

Abhi naaraaz huun main ..



Abhi zindagi ko khud ba khud sambhalne do .. 

Abhi is se naaraaz huun main ..

Nigaah mein jo baadal hai use zameen par utarne do .. 
Abhi mook huun, hairaan huun main ..

Meri soch ke panchhi ko zara udaan bharne do .. 
Apne daayron se ab pashemaan huun main ..

Haathon ki lakeeron ko ab alvida keh lene do .. 
khud se bewafaa ek naam huun main ..

Lafzon ki shatranj pe jazbaat nilaam karne do .. 
Apni hi beparwaahi ka anjaam huun main ..

Waqt ko yun hi bikhar bikhar kar chalne do .. 
Kismat ki zidd se pareshaan huun main ..

In hasraton ke shehar sehme sehme rehne do .. 
Tanhaayion se zyaada aabaad huun main .. 

Sab kuch tum ..



Khaamoshi bhi tum ho aur khaamoshi 'mein' bhi tum.. 

Khaamoshi ki aagaaz bhi tum ho aur khaamoshi ki inteha bhi tum .

Baarishon ke andaaz bhi tum ho aur barsaat bhi tum.. 
Chhat pe bajti jal tarang bhi tum ho aur gunguni kaayanaat bhi tum..

Wo door ka kshitij bhi tum ho aur meri udaan bhi tum .. 
Jheel mein ghulta neela rang bhi tum ho aur saara aasmaan bhi tum ..

Meri pukaar bhi tum ho aur meri aawaaz bhi tum .. 
Meri ankahi bhi tum ho aur mera intezaar bhi tum ..

Mera har mausam tum ho aur mausam ka paighaam tum .. 
Meri patjhad bhi tum aur saawan ki bauchhar bhi tum ..

Meri aankhon mein bhi tum ho aur mera kaajal bhi tum.. 
Meri nigaah mein bhi tum ho aur har nazaara bhi tum..

Hum to bas wo hain..



Hum to bas wo hain jo raaston par phool bichhate hain .. 

Humein kisi manzil se waasta nahi ..

Hum ne baandh li ek zarre mein saari kaaynaat .. 
Humein zameen se raabta nahi ..

Humne to sitaaron se keh kar barsaat hai karwaayi .. 
Humein baadlon par bharosa nahi .. 

Humne aasmaan se nichod kar raatein nikaal phenki hain .. 
Hum chaand ki narmi se aashna nahi ..

Yahaan hote jo tum..



Sadiyon se hum in boondon ko seene mein chhupaaye hain .. 
Yahaan hote jo tum, bepanaah baarish mein roz bheega karte ..

Meri saari ka kinaara, paani mein akela bheeg raha tha be-mann .. 
Yahaan hote jo tum, pallu se barsaat nichoda karte ..

Itna barsaa paani kal shaam yahaan.. 
Yahaan hote jo tum, Chhat pe chaand bhigoya karte .. 

Bhool jaate saare sapne jo aankhon mein sajaaye ab tak .. 
Yahaan hote jo tum, hothon se khwaab 'banaaya' karte ..

Nahi aate..

Image: www.rustyartist.net


Saikdon trishnaaon mein jeene ki aadat hai humko ..
Humein mohabbaton ke aabshaar raas nahi aate ..

Hum chalte hain safar mein sirf chalte jaane ko ..
Manzilon ke nishaan paas nahi aate ..

Kya karun ki lagtaa hai ki zindagi mazaak hai shaayad ..
Sirf chaah lene bhar se to farishte saath nahi aate ..

July 18, 2012

Tu baarah saal da hon lageya si ..



Inder,

Tainu taan kuch yaad vi nahi rehnda hai
Lokaan de saamne khud nu vada hero kehnda hai
Kalaai vich moti jihi ghadi latkaaye phirda hai
Taan vi achhi achhi ghadiyaan da kuch cheta nahi rakhda hai

Par mainu sab yaad hai, tu baarah saal da hon lageya si
Poori klaas vich apni burday party da parcha kadeya si
Main wi tere naal jhalli ho ke party di teyaariyaan kardi si
Aakhar, sharaartan da khargosh, pind vich eko hi jameya si

Main good girl' ban ke, kitchen vich aunty di help karwa rahi si
Help ki karni si, aunty nu teri kartootaan te meri meharbaaniyan das rahi si
Tu sohne kapde paa ke, drawing room vich dostaan di wait karda si
Te ghadi ghadi kitchen vich jhaank ke pyaaj de pakode mangda si

Tere dost aan lage taan tu excitement che enna paagal hoya
Te apna adhaa pakoda mere hath de ke gate wal bhajeya
Pakoda yummy si, main khaa ke gatak ke, tere peechhe daudi aayi
Drawing room te saade dostaan da jamghat lageya si

Tu giftaan collect kar kar ke mainu deyi jaanda, te main aunty nu phadaandi
Tu dostaan nu vekh kinna khush hai, eh dekh main vaari vaari jaandi
Mann hi mann teri maasoom muskaan nu kaala teeka lagaandi
Par tu meri val vekhda te main munh tedha kar ke jeebh chidhaandi

Party games vich tainu hod lagi si - main hi jitnaa kuch vi kar ke
Tere mummy tenu daantde - apne dostaan nu vi jeetan de
Tu mere kol aa ke complain karda - eh ki bekaar rule ne khedaan de?
Main tenu samjhaandi - sab nu khushiyan vand ke hi khushiyan mildiyaan ne

Sachi dasaan, aunty ne bada hi suwaad khaana banaya si
Sab bacheyaan ne plate vich tin tin waar le ke khaaya si
Tere layi kuch bachna nahi, eh soch ke main teri plate nu sajaaya si
Tainu labdi baahar aayi te vekha tu apne naye video game te rijhya si

Khaana khaa le, Indi - main plate agge badhaayi si
Nahi khaana, tu ja ethon - tu mainu bahut jor di sunaayi si
Chal, jaldi khaa layin - Main plate side te rakh ke andar chali aayi si
Changa nahi si lageya, udaas hoke main apne ghare phone call lagaayi si

Cake kattan da time si, bahar aunty bacheyaan nu aawaaz lagaande si
Drawing room vich sab bache table de saare ore bheed jamaande si
Mummy, pick kar lao, mann nahi lagda - main phone te kehndi si
Achha, tu aayi kyon je jaan di enni jaldi si - Tu pichhon khad ke chotti kheenchi si

Sorry, main tere te chilaaya .. aj ton pakka nahi tang karaanga
Tere saath apne saare nave khidone vi share karaanga
Achha, tu jo vi kahe, tere layi oh hi laa ke diyaanga
Hun chal vi pad mere naal, nahin taan dass main kaleya kiven cake katangaa?

Main rondi rondi hass payi si.. Tu hasda hasda ron waala si
Tu baarah saal da hon lageya si.. Par sochdi haan te lagda hai kal di hi gal si

Tu haale vi tang karna nahi chhadeya
Tu haale vi mere te be-wajah chilaaunda hai
Tu haale vi cake kaleya nahi kat sakda,
Tu haale vi mainu unj hi manaaunda hai

Tere jiha dost naseebaan naal milda hai
Es anmol yaariyaan vich Rabb khud aa vasda hai
 
--
Happy Birthday Inder
you are MY bestest friend in the entire universe..
Rabb tenu dher saari rehmataan bakhshe..
--

July 10, 2012

Aadatein chaand ne bigaadi hain..



Soyaa nahi jahaan mera, aadatein chaand ne bigaadi hain ..
Raat raat bhar jalta raha, raat raat bhar galta raha ..

Baadalon ki hatheli mein, paani ki paayal rakh aayi main ..
Ek khwaab raat bhar ghoongru'on saa bajta raha ..

Aawaaz de kar aasmaan ko neeche utaara maine ..
Khidki par ek shaam ka kinaara pighalta raha..

Yun tassavur mein tumhaare, kitne aqs aaine se bachaaye maine ..
Aur kabse in aankhon mein tumhare naam ka moti palta raha

Ek dua rakh aayi mein mandir ke diye ke tale ..
Kaheen door ek musaafir taaron ki chhaaon mein chalta raha ..

July 5, 2012

Shabd kahaan apne paraaye hote hain ..


Shabd bhi kitne jaalsaaz hote hain naa ..

Hum kehte kya hain, log sunte kya hain ..

Masoom ban ke zehar hothon pe aa theharta hai ..
Koun jaane is paimaane ke iraade kya hain ..

Baat baat mein humein jawaab dena aa gaya hai .. 
Ye behisaab se sawaalon ke maayne kya hain..

Shabd kahaan apne paraaye hote hain ..
Kirdaar nibhaate hain, baaki inse rishte kya hain ..

Sirf shabd hi kya dil ki baat bola karte hain ..
To phir, ye aankhon ke geele mehmaan kya hain..

Rawaan hai meri awaaz, par shabdon se mehroom hai ..
In bejaan ehsaason ke ankahe dard kya hain ..

Poori raat ek khushk awaaz mein simat aayi hai ..
Jo bheegte hain dil mein, wo qatre kya hain ..

Main naraaz hoon inse, ye hairaan hain mujh par ..
Sochti hoon, shabdon se wafaa ke silsile kya hain ..

June 22, 2012

Usko Paana Hi..


Usko paana hi meri zindagi ka maqsad hai ..
Jise paa bhi chuke aur paa sakte bhi nahi ..

Labon pe aata hai wahi ek taraana ..
Nazm ho jo rooh ki aur gaa sakte bhi nahi

Us manzil tak pahunchna bhi aarzoo hai hamaari ..
Thehar bhi gaye waheen aur jaa sakte bhi nahi

Aisa samanadar hota hai ishq ka, yaaron ..
Doob gaye jisme aur samaa sakte bhi nahi ..

June 20, 2012

Shayad tum aao..


Kangna mein jo ye ghoongroo baar baar bajta hai ..
Shayad mera dard hai shayad mera pyaar hai ..

Reshami dupatte si lipat aayi tumhaari yaadon ki shaam ..
Shayad meri tanhaayi par bhi tumhaara ikhtiyaar hai ..

Aasmaan ki tarah meri paayal bhi gumsum hai ..
Shayad dono ko phir aaj chaandni ka intezaar hai ..

Mehendi mein likhi kahaaniyon mein dhoond lo khud ko ..
Shayad tum aao, mere dil ko aaj bhi aitbaar hai ..