February 8, 2014

Ek namak sa khwaab..


मुझसे लड़ने झगड़ने आती हैं बारिशें..
ज़रा सी बात पर बरसने आती हैं बारिशें..

सावन के झूले क्यूँ सूखे पड़े हैं..
मुझ पर जम कर बिगड़ने आती हैं बारिशें..

आँगन में बादल है तो सींचा क्यूँ नही..
इस बात पर गरजने आती हैं बारिशें..

जब देखती हैं, मैं सर झुकाए खड़ी हूँ..
दिल बन के धड़कने आती हैं बारिशें..

भीगी पलकों पर जमा है एक नमक सा ख्वाब..
खामोशी को समझने आती हैं बारिशें..

दोनो सहेलियों में मानो आज ज़िद्द है कोई..
गालों पे घम सा सँवारने आती है बारिशें..

Mujhse ladne jhagadne aati hain baarishen..
Zara si baat par barasne aati hain baarishein..

Saawan ke jhoole kyun sookhe pade hain..
Mujh par jam kar bigadne aati hain baarishein..

Aangan mein baadal hai to seencha kyun nahi..
Is baat par garajne aati hain baarishein..

Jab dekhti hain, main sar jhukaaye khadi huun..
Dil bann ke dhadakne aati hain baarishein..

Bheegi palkon par jamaa hai ek namak sa khwaab..
Khamoshi ko samajhne aati hain baarishein..

Dono saheliyon mein maano aaj zidd hai koi..
Gaalon pe gham sa sanwarne aati hai baarishein..

4 comments:

  1. Waah laajawaab... Khuda kare apke qalam ki siyaahi se aise hi kavitaaon ki hoti rahe baarishein.... :)

    ReplyDelete
  2. Bahut khoob shishterrr..., beautiful thoughts and expressions, keep it up :-)

    ReplyDelete
  3. Jab dekhti hain, main sar jhukaaye khadi huun..
    Dil bann ke dhadakne aati hain baarishein

    Nice
    Loved the whole composition

    ReplyDelete
  4. Beautiful. The title attracts in own right then the words immerse you in a quicksand of emotions.

    ReplyDelete