February 9, 2014

Silwat



Pichhle saal, farvari hi mein..
Ek thande neele din..
Tum aaye they..
Baithe they kuch der..
Bistar ke kone par..

Mausam ki..
Kuch idhar udhar ki..
Baat karte rahe tumhaare lafz ..
Chup raheen magar..
Tumhaari aankhein..

Saamne padaa ek puraana guitar..
Dekhta raha tumhaari ungliyon ko..
Aur un ungliyon pe jo jami thi..
Barf maazi ki..

Mez pe rakhe guldaan ke..
kuch sookhe phool..
Tumhaare labon ki nami ko tukur tukur dekhte rahe..
Aur jalte rahe..

Tum kuch kehna chaahte shaayad..
Lab bhi raazi they magar..
Gale mein ek baat..
Namak ki dali jaisi fasi rahi..
Na nigli jaaye, na ugle bane..

Meri hi tarah..

Ek lambi bimaari thi is kamre ko..
Jo na bhi kahaa jaata..
Samajh leti theen diwaarein..
Khidkiyan bhi sunti magar..
munh phere padi rehti..

Pichhli farvari hi thi ya kuch zamaane beete?..
Kalendar dhuundhti main..
Aur mujhe dhuundhta kalendar..

Aaj guitar chup khadaa hai..
Guldaan bhi khaali padaa hai..
Magar..
Bistar ke us kone par ek silwat ab bhi baaki hai..
Thandi geeli neeli si wo silwat ..

Ab bhi baaki hai..

No comments:

Post a Comment