अक्सर भूल जाती हैं मुझे वही बातें..
ज़िंदगी जीने के लिए जिन्हे याद रखना था..
पिंजरे में वक़्त की चिड़िया देख के हंसती है..
क़ैद किए वही पल जिन्हे आज़ाद रखना था..
कंक्रीट जंगलों ने कभी सोचा ही नही ..
गाँव के बरगद को भी आबाद रखना था..
पढ़ा लिखा कर अफ़सर बनाया बेटे को..
बेटियों के सर पर भी तो हाथ रखना था..
दोस्त बने, दोस्ती यारी में जान भी लुटाई..
अपनी परछाई को मगर साथ रखना था..
Aksar bhuul jaati hain mujhe wahi baatein..
Zindagi jeene ke liye jinhe yaad rakhna tha..
Pinjre mein waqt ki chidiya dekh ke hansti hai..
Pinjre mein waqt ki chidiya dekh ke hansti hai..
Qaid kiye wahi pal jinhe aazaad rakhna tha..
Concrete junglon ne kabhi socha hi nahi ..
Concrete junglon ne kabhi socha hi nahi ..
gaon ke bargad ko bhi aabaad rakhna tha..
Padha likha kar afsar banaya bete ko..
Padha likha kar afsar banaya bete ko..
Betiyon ke sar par bhi to haath rakhna tha..
Dost bane, dosti yaari mein jaan bhi lutaayi..
Dost bane, dosti yaari mein jaan bhi lutaayi..
Apni parchaai ko magar saath rakhna tha..
No comments:
Post a Comment