Ye khwaab mere hain.. sirf mere hain..
In par hukumat meri hai par ye amaanat teri hai ..
Ye haath mere hain, lakeerein meri hain ..
Par in mein chhupi sab takdeerein teri hain ..
Ye aankhein meri hain, nigaah meri hai ..
Band hoti hai jab to wo panaah teri hai ..
Zindagi meri hai, ye aadatein meri hain ..
Saanson ki maala mein magar Ibaadatein teri hain ..
Ye naam mera hai .. par is naam ki jageer teri hai ..
mujh mein kya mera hai ... ye khwaabon ki heer .. teri hai
3 comments:
Bemisaal andaaz e sukhan!
10 on 10..
Anuradha its high time you stop being a humble poetess on the other side of the so called critics and should actually start mentoring the novice blog poets
You again defy your own unmatched thresholds of previous times
God bless:)
बहुत ही सुन्दर अभिव्यक्ति...!!!
bahot khoobsurti se pesh kiya hai di apne :) likhti rahein k humein aapko padhne mein sukuuun milta hai :)
Post a Comment