February 5, 2011

ek aur khatam

Ehsaas, mulakat,
kasme waade, silsila

Taqraar, koshishen
Zamana, shikwa-gila

kahani bas ek aur khatam hui doston

Insaaf

Jab se dil toota hai us dilon se khelne waale ka /
Suna hai kaafir masjid jaane laga hai /

Jis haath se kai baar dilon ki saudebaazi ki /
wo haath ab sirf ibaadat mein uthne laga hai /

Kai bezubaan maare jis qatil ne /
wo khuda ke insaaf se darne laga hai /

jis beraham ne meri duaon ka deep bujhaya
wo mere hi sai se raham ki dua karne laga hai

Republic Day

chowk mein chhodo, bas yahi karke dikhlado /

ek tiranga dilon mein lehra do

Raj chhodo, bas kuch aisi niti apnao /

Mera Desh prem aur gehra do

jhoote vaade nahi, kuch aisa malham lagao ki /

deshvaasiyon ke jakhm sehla do

kab se bhooki hai is desh ki mitti /

karm satya ahinsa se nehla do

meri kahani



koi kehta hai kismat ka khel hai
koi kehta hai yeh thi meri nadaani
koi taras ke do bol bhi bol gaya
koi hans diya sunke meri kahani
koi hairaan sa reh gaya
koi bola bhool ja baat hui purani
par kisi se ab kya kehna






..jab meri sachai bhi hui mujhse begaani

Manzil



dhoondte rahe manzil kai khawaishen liye
mil na saka kinara bhi ek pal ke liye
Kehkashan se door chalte rahe ek sadak pe
manzil se hote hue..magar nikal pade phir aage
is baar na manzil ki talab hai na kinaare ki






..bas yun hi chal diye

Filhaal ..

Kitni karwatein badli humne
subah ke intezaar mein
kitne chain kho diye
ek afsaane ki yaad mein
kai pal gawa diye
bas yunhi bekaar mein
ab sochti hun ..
jee lun yeh pal filhaal main

Radiant Raindrops

Kuch nanhi … kuch naadaan si
Kuch alhad … kuch shaitan si
Kabhi narm si, chehre ko bhigati rahi
Kabhi thandi thandi, aansoo chhupati rahi

Swarnim aabha liye yeh baarish ki boondein
Mann mein ujjwalit ehsaas jagati rahi