Kya karogi mujhse milkar..
Meri kalam chhuna chaahti ho..
Ya ye ungliyaan choom lena chaahti ho ..
Jo shabd nahi, tumhaare dil ki tees likhti hain ..
Mere saamne baith kar mujhse kuch puchhna chaahogi..
Par apne sawaalon ko odhaane ke liye, lafz dhoondti rahogi
Haathon se besabri se waqt rokna chaahogi ..
Par gale se nikalte nahi jo dard, unhe tatol_ti reh jaaogi ..
Main tumhaare saamne apne chehre pe haath rakh kar muskuraati rahungi ..
Tum mere saamne muskuraane ki koshish mein roti jaaogi ..
Aansoo ponchh kar, tum bag mein kuch dhoondne lagogi ..
Chupchaap mere saamne, ek chhota sa tohfa rakhogi ..
Ye kya hai? Main puchhungi
Tum pheeka sa muskura dogi ..
Wo tohfa khaamoshi se meri taraf sarka dogi ..
Main tohfa kholne lagungi .. Tum thoda sa darr jaaogi ..
Apni baahon se khud ko dhaadas bandhaaogi
Ek adhoora kissa .. Kuch toote dhaage ..
Do geele saawan .. ek khaali kaagaz ..
Aur ye chaand ki mitti ..
Itna kuch ek chhote se dibbe mein
Ye rakh lo, SKB .. tum Kahogi
Tumhaare kaam aayenge ..
Bahut dino se waqt ki almaari mein pade they ..
Tum likh lena inhe apni kavitaaon mein ..
Nahi to behte paani mein inka sanskaar kar dena ..
Apni inhi paak ungliyon se ..
jo mere dard ko kaagaz par likhne ka
anokha hunar jaanteen hain
ab tum mujhe dekh ke muskura dogi ..
main tumhaare jazbaaton ke saagar mein kahin doob jaaungi ..