October 31, 2012

In aankhon mein aaj..

In aankhon mein aaj..

Do raat ki baasi neendein hai..
Kuchh khwaabon ka chuura .. 
Ek dil tootne ki aawaaz .. 
Aur ek chaand adhuura.. 

Bediyon se sawaal hain.. 
Aadhe adhhure jawaab hain.. 
Udhde udhde kisse hain.. 
Aur ek kadwi si sharaab hai.. 

 Duniya hai dard hain.. 
Ek puraana mausam zard hai.. 
Raat ka sannaata hai.. 
Tanhaayi bahut hi sard hai..

Ek udaas si baarish hai..
Waqt ki tez saazish hai.. 
Hum bhi ro lein do pal ke liye.. 
Badi maasoom si khwaaish hai.. 

Nigaah ke har panne par tere nishaan hain..
Sehme sehme sapno ka khaali khaali makaan hai..
In aankhon mein aaj ..
Bahut saare nanhe mehmaan hain.. 


October 29, 2012

Kahin raaste par mili mujhe zindagi..




Kahin raaste par mili mujhe zindagi..
Main bhi zidd mein rahi ki nahi hi milungi..

Mujhe apne gham se fursat kahaan ki iski aur dekhun ..
Mehmaan-nawaazi ki bhi haqdaar nahi zindagi ..

Main apne chaand-taaron baadalon mein hi khush huun..
Mujhe nahi chaahiye ab ye daulat-e-zindagi..

Jaa ke padhe zaraa meri puraani diary ke panne..
Jab khwaab toot rahe they, tab kahaan thi zindagi..

Aaj bin mausam barsaat barasne aayi hai mujh par..
Jab aansuon se bheeg rahi thi main, tab kahaan thi zindagi..

Khud ke jee mein aaya tab milne aayi hai..
Abhi tak kahaan thi ye abhimaani zindagi..

Wo bhi waqt tha jab dost bhi duniya ho gaye..
Main pareshaan hairaan khadi thi, tab kahaan thi zindagi...

Maine marna seekh liyaa to jal bhun gayi hai..
Jab dard se pukaara tha, tab kahaan thi zindagi..

Beinteha tanhaaiyon mein akeli rahi hoon..
Tab nahi aayi to ab kyun aayi hai zindagi..

Main zidd mein huun ki nahi hi milungi..
Mujh se gale lipat ke rone aayi hai zindagi..

October 14, 2012

Ye kya sach mein apne hain..


Dil sochtaa hai to sochtaa hi reh jaata hai .. 
Ye jo apne hain kya sach mein apne hain ..

Ye jo mujhe duniya ki reet samjhaate hai .. 
Ye dost meharbaan kya sach mein apne hain ..

Zamaane ke darr se mere sapno ko daraate hain .. 
Mujhe dil-o-jaan se chaahne waale ye kya sach mein apne hain ..

Udnaa chaahun to mere toote pankh ginwaate hain .. 
Mere mukkadar ke haami ye kya sach mein apne hain ..

Main manzil ki aur dekhti hun, wo raah ke kaante dikhaate hain .. 
Mere safar ke humraahi kya sach mein apne hain ..

Waqt bewaqt mujhe waqt ka taqaaza dete hain .. 
Har waqt ke ye saudaagar kya sach mein apne hain ..

Rishton ki chaadar hai ya kafn hai mere armaanon par .. 
Mere janaaze pe rote hue mere hamdard mere apne ..

.. Ye kya sach mein apne hain ..

October 9, 2012

chaand bhi roya karta hai ..



Ye raat jaanti hai ki chaand bhi roya karta hai ..

Halka halka nimma nimma, aasmaan bhigoya karta hai ..

Har shaam khaamoshi se raat ki chaadar odha karta hai ..
Taaron ke daaman mein chanda mera, tanha soya karta hai .. 

Gumsum gumsum baitha baitha, yaadon mein khoya karta hai ..
Ye chaand apne dil par kitne dard dhoya karta hai .. 

Pedon ke peechhe chhup ke munh aansuon se dhoya karta hai ..
Jaane chanda kis pagli ke khwaab sanjoya karta hai ..