April 22, 2013

Aaj sach suna ..



Aaj sach suna ..
Kadwa tha.. Meri hi tarah..
Hairaan tha.. Zindagi ki tarah..
Nukeela..
Magar jaane kyun chubhta nahi..

Aaj sach suna..
Sakht tha.. Dattaa raha..
Talkh tha.. Gurraata raha..
Maasoom..
Magar jaane kyun muskuraata nahi..

Aaj sach suna..
Bebas tha.. Dekhta raha..
Kasmasaaya sa.. Juujhta raha..
Maayoos ..
Magar jaane kyun dard se darta nahi..

Aaj sach suna..
Thak gaya tha.. Phir bhi aaya..
Sharmsaar tha.. Chhupta aaya..
Pareshaan..
Magar jaane kyun sambhalta nahi..

Aaj sach suna..
Soona soona sa .. Akela tha..
Tanha .. Sar jhukaaye..
Ungliyan dekhta raha..

Magar kyun phisalta waqt dekhta nahi..

Aaj sach suna..
Doston ..
Dukh hua..
Dard bhi..
Magar ek ajeeb sa sukoon aaya..
Hasraton ko .. Zara aaraam aaya..

April 16, 2013

Kyu Nahi ..




Ye kagaaz agar sach bolte hai to lagta kyu nahi ..
Tu agar mera hai to mera lagta kyu nahi ..

Tujhe pyaar hai to tere darpan mein jhalakta kyu nahi ..
Mera dard teri aankhon se chhalakta kyu nahi ..

Khud par yaqeen hai to tu kuch keh guzarta kyu nahi ..
Mera intezaar karta hai toh tu ye waqt badalta kyu nahi ..

Ye baadal jo tune mere naam ka bheja hai ..
Tera ehsaas inme se kabhi barasta kyu nahi ..

Is surmayi raat mein jugnu ke boonde bheje hai tumne ..
Phir chaand ye aasmaan nigalta kyu nahi ..
Meri baahon mein simat ta kyu nahi ..

Main kathputli si tere mahal mein saj gayi kai baar ..
Tu mujh mein jaan ban ke utarta kyu nahi ..

Tere mahal ki deewaarein bhi khokli hansti hai ..
Tu aata hai roz par isme theharta kyu nahi ..

Paani mein mera aqs puchhta hai meri hi pehchaan ..
Tere naam se mera naam sanwarta kyu nahi ..

Apna Des Yaad Aaya..




Aaj phir jab aasmaan khaali khaali nazar aaya ..
Aaj phir apne des ka chaand yaad aaya ..

Nahi hoti yahan phoolon mein koi mehak ..
Aaj phir des ka gulaab yaad aaya ..

Kaagaz ke kup mein ye chai pheeki lagti hai ..
Kulhad ki chai ka swaad lajawaab yaad aaya ..

Ugta hai yahan suraj sirf duty per jaane ko ..
Aaj pahadon ke beech se uthne wala aaftab yaad aaya ..

Muskuraane ko to log yahan bhi muskuraate hain..
Wo pet ke bal hansna aaj behisaab yaad aaya..

April 15, 2013

Koi kashti nazar aayi hai kya..


Khokle shabdon ko hansta dekh rahi huun.. 

Phir koi kahaani machal aayi hai kya..

Chaand aag sa tap rahaa hai aajkal.. 
Sitaaron ne meri shikaayat lagaayi hai kya..

Waqt ke bazaar mein kismatein bik rahi hain dekho.. 
Zindagi puuchhti hai, meri bhi boli lagaai hai kya..

Dikhaai nahi deta mujhe apna jism kahin par.. 
Akhbaar kholo, meri koi khabar aayi hai kya..

Diwaarein is ghar ki chhup chhup roteen hain.. 
Phir koi anaarkali chunwaayi hai kya..

Mujhe raat din shehron ka shor milaa hai.. 
Vasiyat mein meri bas tanhaai hai kya..

Sambhaale hai humne kai toofaan samandar mein.. 

Door koi kashti nazar aayi hai kya..