August 25, 2012

Yaadon ka samandar ..



Uthta hai jo teri yaadon ke samandar se ..
Lamha wo bhi, phir doob jaata hai tanhaayi mein ..

Banjaare ki tarah khaanabadosh hai mera muqaddar bhi ..
Humne zindagi basar ki ruswaayi mein ..

Kehne ko to dil mein kai dard hain baaqi magar ..
Mere alfaaz ghut rahe hain milon faili judaayi mein ..

Naa aaya saleeka, dil ki kuch keemat lagaate ..
Hum hairaan pahunche khud apni tabaahi mein ..



August 22, 2012

Ab jee nahi chaahta ..



Tu bewafa to nahi, ye humein bhi pata hai magar ..

Ummeed koi rakhne magar, ko ab jee nahi chaahta ..

Rang rang se nahaya hai chaman ka kona kona ..

kisi rang mein rangne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Aankhon mein kitne mele hain haseen nazaaron ke ..

Inhe nazar mein basaane ko magar, ab jee nahi chahta ..

Labon par yun to jaam chhalakta hai lafzon ka ..
Koi nazm kehne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Kaajal hai, bindiya hai, yun to reshmi choodiyon ke guchhe bhi hain ..

Solaah sringaar karne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Chaand par bhi noor, aaj chaand sa hai ..

Is se chaandni churaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Khat mein ek maafi hai, ghar aane ki guzaarish bhi hai ..

Milne milaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Wo baahein bhi hain jin mein roz dil ko sulaaya karte they ..

Khwaabon mein kho jaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Shaam ka mehrooni kinaara hai, raat ki jheel hai neeli si ..

In mein ghul jaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Tumhaari shehar ki baarish ko kabhi chupaaya tha ek kitaab ke beech ..

Geele panno par apna naam likhne ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Kuch khamosh kadam chal rahein hain chup chaap mere saath ..

Inhe hamsafar banaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

Unmukt aasman hai, kuch safed baadlon ki ek toli dikhti hai ..

parindon sa udne ka magar, ab jee nahi chaahta ..

Gale ki khraash ki tarah ek naraazgi atki hai seene mein ..

jee behlaane ko magar, ab jee nahi chaahta ..

August 19, 2012

Aaj phir ..



Aaj phir bediyon mein mera zurm khadaa hai ..
Aaj phir sharmindaa ye jism khadaa hai .. 


Aaj phir hum jawaabon ke munh taakte hain .. 
Har jawaab par ek naya sawaal khadaa hai ..

Aaj phir khud se naaraaz baithe hain ..
Aaj phir dil hairaan khadaa hai ..

Aaj phir raat se panaah maangte hain ..
Aaj phir ek suraj mujhko roke khadaa hai ..

Aaj phir apni nigaah ko parde mein band kiyaa ..
Aaj phir khwaabon ka parindaa bebas khadaa hai ..

Aaj phir awaragi se samjhauta kiya hai ..
Aaj phir mera saaya pareshaan khadaa hai ..

Aaj hi badan par se zindagi ke nishaan utaare hain ..
Ek besharam jism phir apni kahaani liye khadaa hai ..

Aaj phir samandar se aansoo churaaye hain ..
Aaj phir saahil pe mera imaan khadaa hai ..

Aaj phir zameen in haathon mein simatne lagi hai ..
Pairon mein tanhaayi ka aasmaan khadaa hai ..

Aaj phir jeene ki tamanna se ghabraa gaye hain .
Sar pe maut ka bashindaa zidd leke khadaa hai ..

Koi humein jaanta na ho ..



Ji karta hai ki humein jaanta na ho .. 
Is shehar mein humein koi pehchaanta na ho ..

Ek ajnabi ko dekhein jo aaina bhi dekhein .. 
Aaina bhi humein apnaa maanta naa ho ..

Bhare baazaar se bhi guzrein to koi aashnaa naa ho .. 
Hum palat ke dekhenge, ye bhram koi paalta naa ho ..

Sambhlenge naa mujhse duniyaa ke riwaaz o rasm .. 
Rasm nibhaane ka jimma koi mujhpar daalta naa ho ..

Ye kiyaa, wo naa kiyaa, ye rishton ke karz kaise hain .. 
Ek rishta to aisa ho jiska dard saalta naa ho ..

Ye khwaab ke panchhi pakheru ho jaayen .. 
Mere jism ke pinjre se koi pukaarta naa ho ..

Rang na chadhe mere be-rang par kisi kaa .. 
Saanwariya bhi aaye to mujhe sanwaarta naa ho ..

Abhi naaraaz huun main ..



Abhi zindagi ko khud ba khud sambhalne do .. 

Abhi is se naaraaz huun main ..

Nigaah mein jo baadal hai use zameen par utarne do .. 
Abhi mook huun, hairaan huun main ..

Meri soch ke panchhi ko zara udaan bharne do .. 
Apne daayron se ab pashemaan huun main ..

Haathon ki lakeeron ko ab alvida keh lene do .. 
khud se bewafaa ek naam huun main ..

Lafzon ki shatranj pe jazbaat nilaam karne do .. 
Apni hi beparwaahi ka anjaam huun main ..

Waqt ko yun hi bikhar bikhar kar chalne do .. 
Kismat ki zidd se pareshaan huun main ..

In hasraton ke shehar sehme sehme rehne do .. 
Tanhaayion se zyaada aabaad huun main .. 

Sab kuch tum ..



Khaamoshi bhi tum ho aur khaamoshi 'mein' bhi tum.. 

Khaamoshi ki aagaaz bhi tum ho aur khaamoshi ki inteha bhi tum .

Baarishon ke andaaz bhi tum ho aur barsaat bhi tum.. 
Chhat pe bajti jal tarang bhi tum ho aur gunguni kaayanaat bhi tum..

Wo door ka kshitij bhi tum ho aur meri udaan bhi tum .. 
Jheel mein ghulta neela rang bhi tum ho aur saara aasmaan bhi tum ..

Meri pukaar bhi tum ho aur meri aawaaz bhi tum .. 
Meri ankahi bhi tum ho aur mera intezaar bhi tum ..

Mera har mausam tum ho aur mausam ka paighaam tum .. 
Meri patjhad bhi tum aur saawan ki bauchhar bhi tum ..

Meri aankhon mein bhi tum ho aur mera kaajal bhi tum.. 
Meri nigaah mein bhi tum ho aur har nazaara bhi tum..

Hum to bas wo hain..



Hum to bas wo hain jo raaston par phool bichhate hain .. 

Humein kisi manzil se waasta nahi ..

Hum ne baandh li ek zarre mein saari kaaynaat .. 
Humein zameen se raabta nahi ..

Humne to sitaaron se keh kar barsaat hai karwaayi .. 
Humein baadlon par bharosa nahi .. 

Humne aasmaan se nichod kar raatein nikaal phenki hain .. 
Hum chaand ki narmi se aashna nahi ..

Yahaan hote jo tum..



Sadiyon se hum in boondon ko seene mein chhupaaye hain .. 
Yahaan hote jo tum, bepanaah baarish mein roz bheega karte ..

Meri saari ka kinaara, paani mein akela bheeg raha tha be-mann .. 
Yahaan hote jo tum, pallu se barsaat nichoda karte ..

Itna barsaa paani kal shaam yahaan.. 
Yahaan hote jo tum, Chhat pe chaand bhigoya karte .. 

Bhool jaate saare sapne jo aankhon mein sajaaye ab tak .. 
Yahaan hote jo tum, hothon se khwaab 'banaaya' karte ..

Nahi aate..

Image: www.rustyartist.net


Saikdon trishnaaon mein jeene ki aadat hai humko ..
Humein mohabbaton ke aabshaar raas nahi aate ..

Hum chalte hain safar mein sirf chalte jaane ko ..
Manzilon ke nishaan paas nahi aate ..

Kya karun ki lagtaa hai ki zindagi mazaak hai shaayad ..
Sirf chaah lene bhar se to farishte saath nahi aate ..