April 27, 2014

Tujhe dekha hai jabse..


Sadiyaan chalte chalte aasmaan failaaya maine..
Tujhe dekha hai jabse, zameen ho gayi huun..

Naa rangat thi mehmaan, na surkhi gaalon par..
Tujhe chhu kar ke jaanam, main haseen ho gayi huun..

Mera deen khud maula ne mohabbat likh diya hai..
Tujh mein apna raam basaa kar, main raheem ho gayi huun..

Raat saari utri aankhon mein kaajal jaisi kaali..
Tere aane ki aahat se parveen ho gayi huun..


Jaise sajdon ki khushboo hoti hai shivaalon mein..
Tu pooja meri, main teri aameen ho gayi huun..

Ye kya zidd hai ki..


Ye kya zidd hai ki saans jism nahi chhodhti..
Ek aadat hai jo jaan jaane par jaayegi..

Dil toot bhi jaaye to dhadakta rehta hai ..
Dhadhkanein tere jaane ke baad jaayegeen..

Palkein khuli rahegeen intezaar mein..
Aankhein tujhe dekhe bina kaise jaayengeen..

Zehan mein tujhe band karke rakh liyaa hai..
Yaadein bewafa, kabhi yunhi fisal jaayengeen..

Mere zevar jo they wo sab saath le aayi huun..
Laal choodiyaan magar tere saath hi jaayengeen..

Neeli chaadar koun kheench ke le gaya..
Zameen kahaan kahaan dhoondne jaayegi..

Mere janaaze ko naa chhunaa apne haathon se kabhi..
Tere lams se meri khwaaishein jaag jayengeen.. 

Umr..


Ek udaasi aisi jo chehre se bayaan hoti hai..
Aaina dekhe binaa ek umr tamaam hoti hai..

Ishq mein hoti hai lazzat behisaab..
Ishq mein umr aur jawaan hoti hain..

Umr bhar jo peeta hai mohabbat ke pyaale ..
Sahi maano uski aankhein sharaab hoti hain..

Nibhaati hai maut umr bhar ka saath ..
Zindagi chand dino ki mehmaan hoti hai..

Bahut aasaan hota hai alvida keh dena..
Tum kya jaano umr kaise ravaan hoti hai..

April 2, 2014

Bas itna kusoor tha..


Khamoshi ko zaraa sotaa rehne diya jaaye..
Din bhar jo aawaaz nigalti raheen..

Jaane kya sameta khaali aasman ne..
Na puchho, kyon raatein bikharti raheen..

Door se aati halki peeli si roshniyaan..
Reh reh kar apna, andaaz badalti raheen..

Ek chaand na aaya, bas itna kusoor tha..
Kai dil jalte rahe, aur mom pighalti rahi..

Bahut kas ke rakhi thi dor zindagi ki..
Raaston se magar, manzilein phisalti raheen..

Jo maazi pe rakha tha, gumaan ban gayaa..
Jo ummeedein thi khud se, woh guzarti raheen..

Gehri silwatein waqt ki..


Umr dikhne lagi hai us par bhi..
Wo gulaab jo kai saalon se ..
Zehan ki kitaab mein band rahaa..

Gehri silwatein waqt ki..
Aur zard aankhon mein khurduri nami ..
Chehre par maano koi kahaani likhi ho..

Aainaa chup tha..
Hothon par sookha sawaal rakhaa rahaa..
Jawaab kya dete, magar nishaan zindagi ke..

Ek khidki be-wajah sochti rahi..
Beete hue din, aakhir kyun..
Laut kar waapis nahi aate..

Dahej mein aaya ek 'cup-plate' couple..
Shaam ki chai par roz..
Honeymoon manaaya karta tha..

Budhe 'cup-plate' ne barson saath nibhaaya..
Pyaar apne kai nishaan chhod ke..
Aakhiri saans letaa hua khidki ki sill par padaa hai..

Khidki ki jaali se chhanti baarish..
kisi ko reh reh kar manaa rahi hai..
Mat jaao, ruk jaao..

Par bhala yun bhi kabhi hota hai..

Beeta hua waqt..
Behta hua paani..
Gulaab ki khushbu..
Aur bachpan..
Kabhi laut kar wapis aaye hain bhalaa..