March 26, 2014

Zaruri to nahi..



Zaruri to nahi har dard ghazal ho jaaye..
Kuch dard sambhaale jaane ke liye hain..

Zaruri to nahi har aansoon gaalon pe dhulak aaye..
Kuch aansoo sirf sukhaane ke liye hain..

Zaruri to nahi har gilaa lafzon mein simat aaye..
Kuch shikaayatein tanhaa rulaane ke liye hain..

Zaruri to nahi har dost ko dosti bhi aaye ..
Kuch dost dushmani nibhaane ke liye hain..

Zaruri to nahi har sawaal ka jawaab diyaa jaaye ..
Kuch sawaal sirf muskuraane ke liye hain..
 

Ek kahaani bechaari..


kuch yaad aa rahaa hai..
bechain si ek raat.. chaand se uub kar sirhaane padi rahi..

baat be-baat aasmaan jhallaata raha..
ek naazuk si hichki .. dard ke bahaane padi rahi..

din ne jaise saanp ugla ho..
maasuum si chidiya .. ghonsle mein jism chhupaane padi rahi..

maano registaan pe garm kaanch pighlaa ho..
mann ki chanchal gilahri.. dhadkano ko aas dilaane padi rahi ..

aankhon se beh nikli ankahi baaton ki syaahi..
aakhiri shikayat jo thi .. khud ko sehlaane padi rahi..

udh_di si daastaan thi aawaaz ki silwaton mein..
ek kahaani bechaari.. lafzon ka karz chukaane padi rahi..

March 17, 2014

Thode se right, thode se 'hypocrite'..


Pehle hum "mujhe akela chhod do" chillaate hain..
Phir khud ko "forever alone" batlaate hain..

Khud duniya se alag dikhnaa chaahte hain..
Phir "world doesnt accept me" ka naara lagaate hain..

Paise ke liye gaanv, shehar, desh chhod ke jaate hain..
Saath saath "money is not everything" bhi bole jaate hain..

Khud ko 'modern' keh ke live-in rahe jaate hain..
Phir 'he wont marry me' keh ke tasuye bahaate hain..

Kapde branded na ho to apnaa munh banaate hain..
Mcdonalds mein baith ke "simple life" pe essay sunaate hain..

Desh ko ho zarurat to sabse peechhe nazar aate hain..
Aur "This country has gone to dogs" ka band bajaate hain..
 

Ladki kaali ho to bina dekhe chale jaate hain..
Hashtag BeautyIsInTheHeart ko trend karwaate hain..

Ladke smart naa hon to friendzone kar diye jaate hain..
Aur "guys only want one thing" ke tweets kiye jaate hain..

Baarish ho to 'damn, this weather' kar ke ghar bhaage aate hain..
Facebook pe 'Danced in rain today' ka status chipkaate hain..

Hum sab 'angry youth' ban kar society ko hypocrite bataate hain..
Magar hum khud hi toh society hain, ye kyun bhool jaate hain..

March 10, 2014

Dil ki dil mein rehne dijiye..




Na samjhenge ye zamaane waale..
Dil ki dil mein rehne dijiye..

Dil tootega aur aansoo bahenge..
Ankahi ko chup rehne dijiye..

Bechain rahengi lakeerein zehan mein..
Jo tab na kahi to ab bhi rehne dijiye..

Neend maangegi jawaab raaton ka ..
Kuch sawaal din hi mein rehne dijiye..

Dost sabab puchhenge, bewajah bawaal hoga..
Gham ko dil mein dabaa rehne dijiye..

Bekaar hi hogi tijaarat lafzon ki..
Shikaayaton ko jamaa rehne dijiye..