March 31, 2013

Jaane kaise kat rahi hai zindagi..



Laksh se hat rahi hai zindagi..
Jaane kaise kat rahi hai zindagi..

Jo aaya, pichhla hisaab maang raha hai..
Kitne hisson mein bant rahi hai zindagi..

Din, mahine, saal badhte jaa rahe hain..
Aur log kehte hain ghat rahi hai zindagi..

Waqt ke mujrimon ki talaash jaari hai..
Katghare ki safaayi rat rahi hai zindagi..

Nilaami hogi chaand ki, chaand ab ghar na aayega..
Raat ke aakhri ghoont gat rahi hai zindagi..

Border pe suna hai bambaari band ho gayi hai..
Kisi sanki fauji si phir bhi, dat rahi hai zindagi..








March 28, 2013

Sirf waqt hi to guzra hai..


सिर्फ वक़्त ही तो गुज़रा है हमारे बीच 
लम्हे वहीँ रखे हैं इंतज़ार में

दिन तो किसी तरह नक़द बिताया है
रात मिली है मगर उधार पे 

माना की तूने न वादा किया कभी 
उम्र सारी बीती है मगर श्रृंगार में 

किताबों में जो आसमान छिपा रखें है  
सूखे सूखे रहते है वो बरसात में

दिल के मकान की खिड़कियों में आज भी 
सहमा रहता है एक शहर तेरे प्यार में 

Ek dopahar..




पीपल की छाया तले मिली थी इक दोपहर.. 
मैली कुचली, कुछ सकपकाई सी दोपहर..

सर पर सूरज रख, दिन बेचने निकली दोपहर.. 
पेट सहलाती जीभ घुमाती , भूखी प्यासी सी दोपहर..

कब घर जाएगी, किरणों को क्या खिलाएगी.. 
यही सोचती, माँ जैसी थकी थकाई सी दोपहर..

शाम को बासी रोशनी कौन खरीदेगा.. 
पत्थर पे सर रख कर, खुद पथराई सी दोपहर..

बुझती आँखें मगर कड़क सुनेहरी.. 
ग़रीब के घर में चुंधियाई सी दोपहर..

चाँद पियक्कड़, मुँह औंधे गिर के सो जाएगा.. 
अपनी किस्मत को कोस्ती, कसमासाई सी दोपहर..

जब नई नवेली सुबह थी,
लोग पानी की 'मुँह दिखाई' दिया करते थे.. 
ये कहाँ दिन रात के जाल में अटकी,
खिस्यायई सी दोपहर.. 


Peepal ki chhaya tale mili thi ik dopahar..
Maili kuchli, kuch sakpakaayi si dopahar..
Sar par suraj rakh, din bechne nikli dopahar.. 
pet sehlaati jeebh ghumaati bhooki pyaasi si dopahar..

Kab ghar jaayegi, kirnon ko kya khilaayegi.. 
Yahi sochti, maa jaisi thaki thakaai si dopahar..
Shaam ko baasi roshni koun khareedega.. 
Patthar pe sar rakh kar, khud pathraayi si dopahar..
Bujhti aankhein magar kadak sunehri.. 
Gareeb ke ghar mein chundhiyaai si dopahar..

Chaand piyakkad, munh aundhe gir ke so jaayega.. 
Apni kismat ko kosti, kasmasaayi si dopahar..
Jab nai naveli subah thi,

log paani ki 'munh dikhaayi' diya karte the 
Ye kahaan din raat ke jaal mein atki,
khisyaayai si dopahar..


Ek rang..



Ek rang neela sa..
Ek saawan geela sa..
Aasmaani chaadar ka ..
Aansuon mein muskaan sa ..

Ek rang hariyaali kaa..
Kheton mein khushhaali ka..
Methi ki roti ki kaur sa..
Naye patton ki baur sa..

Ek rang peela sa..
Suraj jab sharmeela sa..
Sunehri yaadon ke aangan sa..
Baagon mein khilta yauvan sa..

Ek rang laal gulaal sa..
Kitaabon mein sukhaaye gulaab sa..
Dulhan ke maathe pe sindoor sa..
Intehaai ishq ke guruur sa..

Ek rang gulaabi sa..
Pehla nasha sharaabi sa..
Wo pehli pehli baaton sa..
Chaand aur chaandni raaton sa..

Ek rang manushyata ka..
Anekta mein ekta ka
Har rang alag, par satrangi sa..
Hazaaar dilon ki ek dhadkan sa..

March 18, 2013

kehne ki baatein hain..



kehne ki baatein hain ye ishq mohabbat..
koun mujhko mujhse ziyada chaahta hai..

dam nikle jis shakhs par, use bataao mat..
koun hai jo dil lagaane ki sazaa aur ziyada chahta hai..

vaade iraade hain sab kismat ke haath mein..
koun mujhe kam koun ziyada chaahta hai..

laaya tha sukh, khushiyon ke tokre bhar bhar ke..
aadat-e-gham ne kahaa wo mujhe ziyada chahta hai..

meri ghaflat ke hain kuch raaz-o-kisse mashhoor..
wo bhi naaraaz ho baitha jo mujhe sabse ziyada chaahta hai..

March 4, 2013

Pyaar do, Pyaar lo..



Har koi yahaan thoda thoda marr raha hai..
Kuch din hi sahi, zindagi udhaar lo..

Baat niklegi to phir wapis nahi aayegi..
Lafzon ke teer wapis tarkash mein daal do..

Seedhe seedhe milti mohabbat to kya baat thi..
Jahaan se mile, aapas mein baant lo..

Ye wo nahi daur ki Nanak, Buddh, Yesu aayenge..
Jo yahaan mile prem se, use hi khuda maan lo..

Aur kya hai zindagi ko jeene ka sabab..
Pyaar do, Pyaar lo..

March 3, 2013

Aapke intezaar mein..



Sookha sookha din beeta intezaar mein.. 

Geeli geeli raat guzarti rahi intezaar mein..

Aayein jo wo to chup rahungi taqraar mein.. 

Na aayein jo wo to bahut daantungi main, intezaar mein..

Kitne aaye log kitne gaye, zindagi ke bazaar mein.. 

Ek main huun ki bethi huun sadiyon se intezaar mein..

Baadal baras baras kar thehar gaya aasmaan mein.. 

Main ab bhi bheegti huun ek gungune intezaar mein..

Umeed ki dulhan phir lipti hai sringaar mein.. 

Hum kafan baandhe baithe hain intezaar mein..

Aakhiri khat bheja hai unhe, gusse mein dulaar mein.. 

Kal phir ek aakhiri khat likhungi, intezaar mein..

Ishq ka rang itna pakka, na chhute ye barsaat mein.. 

Main aur bhi rang gayi saawariyaa ke intezaar mein..