November 9, 2013

Tanhaaiyon ke mausam..


Phir tanhaaiyon ke mausam aaye hain..
Phir neend se chhuuti yaariyaan..

Phir khidki ne chaand uglaa hai..
Phir lagne lagi khud se dooriyaan..

Phir aangan mein mehakne lagi raat ki raani..
Kisi ke intezaar ki sainkdon kyaariyaan..

Phir nazm kehne ki aadat se qatraaye..
Khud hi zidd rakhi, khud hi haariyaan..

Phir chhod aaye unke sawaalon ke makaan..
Mehengi padti humko apni jawaab-daariyaan..

Ab taana hai apne aakhiri safar ka samaan..
Karo sitaaron, meri rukhsati ki teyaariyaan.. 

Taareekhein..



Wo bhi kya din they..
Har haseen mulaakat ko sambhaal ke rakhte dil mein..

Teen ko mile, saat ko izhaar,
Dus ko kasmein khaayeen,
Pandrah ko maangi mannatein hazaar..
Bees ko roothe, Ikkis poora din bezaar ..

Baais ko falaana falaana jagah ko aansuon se bhigoya..
Chaubees ko hari chudiyaan khareedi..
Chhabees ko uske coat ke liye ek pin..
 

Sataaees ko sinema hall mein baithe..
magar picture koun dekh paaya..
Yunhi mahina guzar gayaa..

ye tees ko yaad aaya..

Pehli taareekh aayi to office se mili salary se chocolate khaayi..
Do aayi to, lipstick..
Koun jaane koun kisko bigaad raha tha..

Yun hi mohabbat ke din they..
Calendar pe har khaas din ke aage..
ek dil banaaya jaata tha..

Ye kuch saal pehle ki baat thi..

Wo laal dil ab halka pad raha hai..
Pehle rooth_te manaate they..
Ab ladte gurraate hain..

Pehle milte they milne ke liye..
Ek doosre ko takne ke liye..
Ab milte hain puraana hisaab baraabar rakhne ke liye..

Yunhi koi shaam jo milta koi raat ka kinaara..
Lafzon ke shaitaan apna jaal phenkte..
Aansoon aur saal bhar ke ilzaamaat nikal aate..

Behti raat mein beh jaate wo maasoom purumeed lamhe..
jinhone jaane kya soch kar qurbat ki saazish ki thi..

Raat bhar thithurrta rehta thanda chaand..
Raat bhar aasmaan namaaziyon ki tarah jhukaa rehta..

Aaj phir koi saalta hua salaana din aaya..
Hoga shaayad puraana koi lamha..
jo aaj bhi peeth thapthapaayi chaahta tha.

Pyaar jab aaya tha, haseen dinon ki potli laaya tha..
Aaj usmein phir jhaank ke dekhaa..
Pyaar kab ka chala gaya..
Potli mein baaki bas kuch taarikhein reh gayeen thi..

November 3, 2013

Is baar diwali nahi manaani mujhe..



Is baar diwali nahi manaani mujhe..
Kalyug mein siya raam ki jodi nahi bulaani mujhe..

Hai kahaan koi dharm.. Shabri ke ber jaisa ab..
Raam ji ko kadwi beriyan nahi khilaani mujhe..


Sainkadon raavan karte hain gali gali aawaas..
Sita maiyaa ko nari vyatha nahi sunaani mujhe..

Achha hai ki rahein.. mere bhole bhagwan abodh..
Raam ji ko is jag ki asliyat nahi dikhlaani mujhe..

Hain hanumaan yahin magar rehte humse kyon chhupkar..
Asatya se ladti anginat kathaayein nahi sunaani mujhe..

Agnipariksha mein roz jalti hain kitni seetayein hamari..
Anyaay aur apmaan ki chitaa nahi bujhaani mujhe..

Ek hi diya jalta hai, jab jalta hai saara desh..
Apni laachaari aankhon se nahi bahaani mujhe..

Ramti nahi ramaayan.. kaare hridaye ke beech..
Bas, ab is baar diwaali nahi manaani mujhe..