December 27, 2013

Phir..



Phir tanhaaiyon ke mausam aaye hain..
Phir neend se chhuuti yaariyaan..

Phir khidki ne chaand uglaa hai..
Phir lagne lagi khud se dooriyaan..

Phir aangan mein mehakne lagi raat ki raani..
Kisi ke intezaar ki sainkdon kyaariyaan..

Phir nazm kehne ki aadat se qatraaye..
Khud hi zidd rakhi, khud hi haariyaan..

Phir chhod aaye unke sawaalon ke makaan..
Mehengi padti humko apni jawaab-daariyaan..

Ab taana hai apne aakhiri safar ka samaan..
Karo sitaaron, meri rukhsati ki teyaariyaan..

Ek shaayar ke paas..


Shabd likhe jaate hain ek dastoor nibhaane ke liye..
Kehne ko wahi puraana hota hai ek shaayar ke paas..

Saal bhar wahi sharaafat ki kameez, ek saabun ki tikiya zindagi..
Paani ki jagah aansoon hote hain ek shaayar ke paas..

Dil mein rakhta hai chhuppa ke ek qayaamat..
Ungliyon mein jazbaat hote hain ek shaayar ke paas..

Imaan tha niyat thi, magar shehar bulaa rahaa tha..
Khisyaayi zidd se bhare huye harf hote hain ek shaayar ke paas..

Ek zimmedaari peedhi badhaane ki, aur naaraaz duniya se algaav ke khat..
Iske alaawa hota hi kya hai ek shaayar ke paas..

Main kuch bhi hota..





Apne ghar mein kissi ka darr nahi hota..
Jahan darr hota hai, wo ghar ghar nahi hota..

Jahaan na hoti ho mishri zubaanon mein..
Un mahalon mein apna basar nahi hota..

Aangan paani maangta ho, diwaarein niyat chhupaati hon..
Berukhi se zyaada kadwa.. koi zehar nahi hota..

Jiski shaakhon pe bikhra toota koi ghonslaa gar ho..
Ghonsle ke tootne par na roye, aisa shajar nahi hota..

Hota koi jo rakhta sar jhukaaye hue..
Suna hai, dua ka iraada bhi be-asar nahi hota..

Main kaash teri aankh ka moti hi hota..
Main kuch bhi hota, mukhtsar nahi hota..

Teri aawaaz ke resham mein lipta rehta jo zindagi bhar..
Marr kar bhi rehta mehfooz.. main kabhi dar badar nahi hota..

December 26, 2013

Bas kaafi hai ..


Meri qismat mein tu nahi to koi baat nahi..
Meri qismat tera naam hai, bas kaafi hai..

Din mein tu nahi hai mere paas, raat mein bhi nahi..
Teri yaadon ki ek shaam hai, bas kaafi hai..

Pyaas se sookh gaye mere honth to kya hua..
Teri justju se labrez khaali jaam hai, bas kaafi hai..

Manzil tak pahunchein bhi kyon aur kis ke liye..
Adhhoora hi sahi, ishq mera maqaam hai, bas kaafi hai..

Nahi jaanta koi main kaun hoon to koi baat nahi..
Shehar mein diwaangi ka ek kissa aam hai, bas kaafi hai..

Nahi maangti meri rooh sukoon ab dil ka..
Ye fakeer jism badnaam hai, bas kaafi hai..

Toofan mein jaa ghiri hai meri koshishon ki kashti..
Mohabbat ka samandar bhi niilaam hai, bas kaafi hai..

Aaj phir bahut dino baad..


Aaj phir bahut dino baad..
Aaj phir teri shayari ki kitaab..

Aaj phir adhoora sa chaand..
Aaj phir koi puraana hisaab..

Aaj phir neend se fariyaad..
Aaj phir sirhaane tere khwaab..

Aaj phir tere sawaalon ki jaaydaad ..
Aaj phir mere ankahe jawaab..

Aaj phir bechain si ek yaad..
Aaj phir ye raat .. bahut betaab..

Hum itna rote kyu hain..


Dil laga ke kisi se beej ghamo'n ke bote kyu hain..
Hum itne meharbaan hote kyun hain..

Jo kahi na jaaye khud se bhi kabhi..
Aisi baato'n ke silsile bhalaa hote kyu hain..

Khwaab mein bhi nahi dete aawaaz wo humko..
Phir hum itni ummeed lekar sote kyu hain..

Aansuon ki keemat unka pyaar to nahi ..

To phir hum itna rote kyu hain..

Ek sawaal sa phansaa hai gale mein kahin..
Yehi rishte hain to phir, rishte aakhir hote kyu hain ...

Gareeb



Is zamaane ne sach ki jagah jhooth sajaa rakha hai..
Imaandaari eent ginti rah gai, jaalsaazi ne mahal banaa rakha hai..

Gaurtalab hai ke woh karte nahi khuda ka khauff..
Badi shaan se jinhone mandir banaa rakha hai..

Muflisi mein rehte rehte aadatan hi muskuraa diye..
Apni chaadar se jyada paer badhaa rakha hai..

AC ke band kamron mein hoti hai behasbaazi..
Garmi se jhulsate shehar ne kya naatak lagaa rakha hai..

Khoon bech kar jo paseenaa kamaata hai..
Bas use chhod kar sabne naara lagaa rakha hai..

Akhbaar khol kar ameer hota hai bahut pareshaan..
Phir gareebon ne aatank machha rakha hai..



Jaa kar kaho koi ..



Jaa kar kaho koi more sajan se..
Neend piya ke sang sidhaari..
Ankhiyan mein do moti le kar..
Baithi kab se jogan tihaari..

Ab ke baras aayein jo saajan..
Le kar aayein sabse vidaayi..
Saawan bhi main tyaag diyungi..
Jo naa barkhaa hum par haari..

Chanda bheege, bheegein taare..
Din doobe aur shaam sataaye..
Un bin kat_ti kaise ratiya..
Un bin dopahriyaa kaari kaari.. 

Bewafaa manzilein..



Unke hisse ke aansoo bahaa rahe hain..
Zindagi se khud ko chhupaa rahein hain..

Har ik mod par sawaal rakhe the..
Puchha tha kya, hum kya bataa rahein hain ..

Aankhein hi naa keh de haal-e-dil kahin..
Ehtiyaatan kaajal khud se mitaa rahein hain..

Ab ki baar na roothenge wo hum se..
Shart phir qismat se lagaa rahein hain..

Milti nahi manzil, manzilein bewafa ho gayeen..
Shukr hai raaste saath nibhaa rahein hain..

Guzarte samay waqt yahi keh paaya..
Sadiyon se dard badhte jaa rahein hain..

December 25, 2013

Woh kahaani jo ab..



Mujhse mat puchho mere dil ka haal..
Jo tujh tak pahunche woh alfaaz nahi hain..

Hain toote phoote idhar udhar ek aadh lafz magar..
Mere paas kehne ka sahi andaaz nahi hai..

Woh kahaani jo ab khatm ho chali hai..
Mere paas us kahaani ka koi aaghaaz nahi hai..

Zamaane bhar mein mujh jaisa koi ghaafil nahi..
Aur tujh jaisa koi be-niyaaz nahi hai..

Waqt ka shor aksar bajta hai kaanon mein..
Khaamoshi se behtar koi saaz nahi hai..

Yunhi zikr mausam se hum bhi kar lete hain kabhi kabhi..
Waise shehar ki baarishon mein wo noor-o-naaz nahi hai..

Aisa pyaar chaahiye..


Wo pehla pehla ehsaas, wo pehla sa khumaar chaahiye..
Marr ke bhi jo na judaa ho, aisa pyaar chaahiye..

Jugnu chaand se jaa kar lad baithe..
Mohabbat par itna aitbaar chaahiye..

Zamaane mein rahein par nigaahon se chhup kar..
Aashiqon ko bhi kaisaa israar chaahiye..

Taaron ke boonde, faili raat sa kaajal..
Humko sabse alag shringaar chaahiye..

Aa jaayein sanam chaahe juun dopahri..
Na saawan chaahiye na bahaar chaahiye..

Unka naam zubaan pe rakh kar sochte hain..
Beqaraari ki inteha sa qaraar chaahiye..