Mujhe darr lagta hai..
Dil se aath ungli neeche..
Naabhi se utni hi uppar..
Wo jagah jahaan par darr ke ghummad uth_te hain..
Main baithi baithi aisi tanhaaiyon mein gote lagaati huun..
Jo mujhe virasat mein mili hain..
Aur saath ek karzon ka samandar bhi..
Rokti huun is aaveg ko to .. hansta hai ek puraana kuaan..
Maano keh raha ho kya kar sakogi rok kar..
Yahin bichh jao.. Meri tarah..
Main rona chaahti huun ..
Par aansoon namak ho chuke hain..
Sookhi aankhein.. bebas aankhein ..
Lakve mein jadi aankhein..
Main cheekhna chaahti huun..
Par aawaaz ke pratibimb adol khade hain..
Kaisa ghanghor sannatta hai chaaro taraf..
Meri rukhsati ke liye bade siyaano ko bulaaya gaya hai ..
Wo khade hain ek haath mein lota aur ek muthi mein mitti le kar..
Main samandar ke neeche tapti ret par khadi huun..
Pair jal rahe hain..
Saans ko saans nahi..
Andhero ke bereham shaagird mere haath marodte hue..
Aur phir ekdum jaise sab shaant..
Aankhein band hain..
Magar palkon par roshni ka aabhaas..
Door se ting ting karta ek maasoom khilona.
Kuch hansti huin kilkaariyaan bhi hain..
Ek nanha sa sparsh mere gaalon par..
Ek chhoti si choodi ki khanak kaanon mein..
Ek mishri si mulaayam 'mam mam mm..'
Aur uski muskuraahat jo mujhe..
Aankhein band mein bhi dikhti hain..
Main haath khol kar us nanhe farishte ko paas bulaati huun..
Aur bas usi ek pal mujhe darr lagta hai..
.. Haan lagta hai mujhe darr..
Kahin main aankhein khol duun ..
Aur ye sab bas ek khwaab ho..