suno meri baat suno..
idhar baitho..
chai aaj thandi ho gayi thi..
arre sun rahi ho..?
kahan jaa rahi ho
idhar baitho, baitho idhar..
suno..
maine kaha chai thandi ho gayi thi..
na na doosra cup nahi chaahiye..
maine maanga kya doosra cup..?
tum suno..
arrey hadd ho gayi..
baith jaao zara..
dekho..
chai thandi thi aur biskut itne sakht..
chai laayi thi to mujhe utha toh deti..
bas rakh ke chali gayi..
main akhbaar padhte padhte so gaya tha..
phir maine aawaaz di to chhoti ko bhej diya..
pta nahi kahan se naye naye log le aati ho..
main kya ab chhoti se bolunga chai ke liye..
tum nahi aa sakti thi..
tumse ek kaam theek se nahi hota..
itna kya kaam mein busy thi..
chai thandi ho gayi thi..
oh! aap bhi na..
bol dete use ..
main aayi thi chai dene..
do baar uthaaya bhi..
itne mein doodhwaala aa gaya hisaab karne ke liye..
drawer se paise lene gayi to dekha aapki dawaai khatam ho gayi hai..
chhoti ko bola aapki dawaai le aane ke liye..
ek to use kuch samajh nahi aata..
ek ek dawaai ka naam likhwana pada..
abhi likhwa hi rahi thi..
ki yaad aaya aapki shirt mein button taankne they..
wo taanke to saamne aapki shaam ki sair ke joote dekhe..
haaye pata nahi kaha mitti mein saan kar laate ho..
wo saaf kiye..
wo kar hi rahi thi ki tabhi yaad aaya..
stove pe soup ubal raha tha..
use dekhne bhaagi..
bas usi samay aapne aawaaz lagaayi..
to main kya karti ..
itna kaam tha kitchen mein..
soup mein bhi to perfection chaahiye hoti hai huzoor ko..
to bol diya chhoti ko, ki bazaar baad mein jaana..
pehle puchh aao ki kya chaahiye ..
bataao kya karti main..
aur biskut sakht nahi they..
tumhaare daanton mein waise hi dard hota hai..
appointment banwa di hai maine..
agle hafte chale jaana..
uff..
chai thandi ho gayi thi to phir bana deti hun..
itna sab karti huun ..
wo to kisi ko dikhta hi nahi..
dikhta hai..
sab dikhta hai..
aao..
tum idhar baitho..
aur jitni marzi shikayatein karo..
main sununga..
sab sununga..
aur suno main kya kehta huun..
mujhe chai thandi hi achhi lagti hai..
garam to sirf tumhara gussa hi theek hai..
achha achha mazaak kar raha tha..
aur suno..
shaam ko das minute baith jaya karo mere paas..
mujhe soup nahi..
bas tum chaahiye ho..
20 comments:
तुम्हारी बातें लम्बी हैं.... दलीलें हैं, बहाने हैं........ हमारी बात इतनी है..... हमारी आरज़ू तुम हो....!!
maar hi daaloge :)
QATAL ekdam di... loved it..
:-) :-) this is marriage, this is love! Loved it Anu.
Nice one...
:-)
wah ji wah.. very cute..
totally a live experience..
beautiful :)
Excellent ! I could visualize every moment in this. U r d best Anu :)
...kavita nahi, zindagi ke kuch haseen pal maano aankhon ke saamne se guzar rahe ho.n....ati sundar !!
Waah Waah Waah. Just Beautiful!!!!!
Maar hi daaala aapne to :)
Aur wo katal akhri line..uff sadka jawa..bus tum chahiye :)
Aisi baaton bhi to guzar jati hai pyaar karte karte zindagi :) :)
kisi ki yaad aa gayi ...
so so so much loved it ..
aren't most lovers like this ? they can b happy even if getting scolded or listening to rants *hugs*
Beautiful.
sab jaise nazar aa raha tha aankhon k saamne chalta hua.
Beautiful :)
:-) :-)
Arey lafz nahi hai, toh mein kya kahoo...
Shukriya Anu :*
B
Tumhaare is intihaai khuubsuurat, nazm numa afsaane ko parh kar,
wo ek adnaa, pehla pehla sa khayaal jo mere zehen mein zaa'edah hua..
us khayaal ko tumhaari beimisaal sukhan nawaazi aur nafiis zehaanat ko bashukr nazar kar rahaa hun..
Kyonki tum, bas tum ho :)
Do musaafiron waale, ik safiina-e-rabt ka..
Umr ke zaiif saahilon talak, ravaan hona..
Kuchh yun bhi hotaa hai ulfat ka, javaan hona..
So beautiful.
Rula dala :)
Love you
<3
:) Very nice and cute Anu..kitna achha laga...choti si jindagi..choti si kushiyan...:))
Superb ,so true har ghar ki kahani movie in words
Superb .
नोंक-झोंक याने जिंदगी का भरपूर आनंद ।
न गिले शिकवे सिर्फ जिंदगी की हकीकत ।
बहाने बुलाने के पास बैठ दो लब्जों के अफसाने।
Post a Comment