May 21, 2013

Phir musaafir hue hain raaste..



This poem is dedicated to Aruna P. Khot, a woman extraordinaire. A multiple-time cancer survivor, Aruna ji is an epitome of love and grace. Wherever she goes, her presence weaves faith and heals tired hearts.
 

Aruna ji, You are my story of hope. You have reaffirmed my belief that angels do exist.

Phir musaafir hue hain raaste..
Phir manzilon ko dhoond laana hai..

Phir paani mein utri hain kashtiyaan..
Phir samandar ke us paar jaana hai..

Phir udaan mein hain hausalon ke parinde..
Phir aasman se bhi aage jaana hai..

Phir haathon pe kheenchni hai nayi lakeerein..
Phir hawaaon ka rukh mod laana hai..

Phir suraj se badhaani hai dosti..
Phir chaand ko gale lagaana hai..

Phir baarish se dooriyaan mitaani hai..
Phir bheegte bheegte muskuraana hai..

11 comments:

Vidisha Barwal said...

beautiful poem, loved it! keep writing!

Unknown said...

Phir paani mein utri hain kashtiyaan..
Phir samandar ke us paar jaana hai..

THIS! I LOVE IT!

Aruna said...

I will keep visiting your blog and specially this poem when I am down and depressed.
Tum bahut hi achcha likhti ho.

Aruna @arunapk57 said...

I am sharing this poem on my facebook page.

mona singhania said...

I love the last two lines....nice imagery. .

Aadii said...

Step aside my other-favorite-poems-of-SKB, this one's my new favorite. Really beautiful and honest poem!

Sandeep Bhutani said...

This is touching. The poem as well as the subject instils faith in fight against all odds. You are certainly one amongst the best, if not the best.

Archana Aggarwal said...

दिल को छू जाने वाली कविता

Unknown said...

Dil chuu liya kavita ne.

Adess said...

Phir bulbulea bane hain barish ke
Phir ineha bikhar jana hai

Phir jhonka aaya hai sawan ka
Phir isea tham jana hai

LaReina said...

Bahut sunder kavita Anu .
Phir pani mein utri hein kashtiyan..
Phir samander ke us par jana hai..👌👌