September 18, 2015

बहुत देर कर दी ..




कभी कभी अपने अतीत से बातें करने को जी चाहता है..

अतीत की उन्ही गलियों में भटकूँ ..
देखूं हर कहानी को फिर से पनपते हुए..

वही रेगिस्तान सी गर्म मिट्टी की जलन  ..
वही चंचल छाँव का भ्रम..
वही आड़े तिरछे रास्ते और..
हर रास्ते के अंत में एकाएक मोड़..

मोड़ पे झूझती, गिरती पड़ती ढलानें..
मैं एक एक क़दम रुक रुक के चलती हूँ ..

और ढलान से सीधे जा कर वो घर के निशान..
जिसकी कच्ची मिट्टी की दीवारें 

कब की डेह चुकी हैं..

और मैं अब आई हूँ..

एक आलसी हवा का झोंका मेरे पास आया..
मानो कुछ कहना चाह रहा हो..
या शायद इंतज़ार कर कर के क चुका था..
एक सदी से आज़ाद होना चाहता था..

झोंका हवा का नाराज़ था..
खाली घर, बंद दरवाज़ा..
मेरे अतीत के वो लोग कहाँ है..
कहाँ है मेरे वो लोग..

मैने अपनी घड़ी में वक़्त देखा..
चार बाज के च्वालिस मिनिट..
इतने ही बजे की तो ट्रेन थी..
बाबूजी छोड़ने आए थे स्टेशन पर ..

स्टेशन की धक्का मुक्की में..
मैने देखा ही नही..
बाबूजी की आँखों में उफनते हुए धुंधले बादल थे..
जो मां की आँखों में जा कर बरसे होंगे..

वो गरम झोंका हवा का नही.. 

मेरी माँ की आहों का था..
अंगीठी में रखी दुआओं का था..

माँ ने एक बार खत में रोटी और गुड भेजा था..
उन्ही दिनों शहर में चीटियाँ भी बहुत हुईं..

मैने कहा भी था.. ये कोई नही खाता यहाँ..
बाबूजी ने फिर भी एक थैला भर के लौकी भिजवाई..
मैं और बाबूजी, दोनो ज़िद्दी..
 

और मैं अब आई हूँ..

देर से ही सही .. घर वापिस आई तो हूँ ..
मुझे बुलाओ.. 

पुचकारो..
पुकारो मेरा नाम..

माँ के नाम पे सूखी तुलसी ..
और बाबूजी के नाम का बोर्ड ..
दोनो टूटे दाँतों से मुस्कुराते हैं ..

तुझे देर हो गयी घर आते आते..
बिटिया, बहुत देर..






Kabhi kabhi apne ateet se baatein karne ko jee chaahta hai..

Ateet ki unhi galiyon mein bhatkuun..
Dekhun har kahaani ko phir se panapte hue..

Wahi registan si garm mitti ki jalan mehsoos karuun..
Wahi chanchal chaanv ka bhram..

Wahi aade tirchhe raaste aur..
Har raaste ke ant mein ekaakak mod..

Mod pe jhoojhti, girti padti dhalaanein..
Main ek ek qadam ruk ruk ke chalti huun ..

Aur dhalaan se seedhe jaa kar wo ghar ke nishaan..
Jiski kachi mitti ki diwaarein deh chuki hain..

Aur main ab aayi hun..

Ek aalsi hawaa ka jhonka mere paas aaya..
Maano kuch kehna chaah raha ho..
Ya shaayad intezaar kar kar ke thak chuka tha..
Ek sadi se aazaad hona chaahta tha..

Jhonka hawaa ka naaraaz tha..
Khaali ghar, band darwaaza..
Mere ateet ke wo log kahaan hai..
Kahaan hai mere wo log..

Maine apni ghadi mein waqt dekha..
Chaar baj ke chwaalis minute..
Itne hi baje ki to train thi..
Baabuji chhodne aaye the station pe..

Station ki dhakka mukki mein..
Maine dekha hi nahi..
Baabuji ki aankhon mein dhundle baadal the..
Jo maa ki aankhon mein jaa ke barse honge..

Wo garam jhonka hawa ka nahi.. Meri maa ki aahon ka tha..
Angithi mein rakhi duaaon ka tha..

Maa ne ek baar khat mein roti aur gud bhejaa tha..
Par unhi dinon shehar mein cheentiyaan bhi bahut hueen..

Baabuji ne ek thaila bhar ke lauki bhi bhijwaayi..
Maine kahaa bhi tha.. Ye koi nahi khaata yahaan..
Main aur baabuji, dono ziddi..

Main der se hi sahi .. Ghar wapis aayi huun..
Mujhe bulaao.. Puchhkaaro..

Pukaaro mera naam..

Maa ke naam pe suukhi tulsi bethi hai..
Baabuji ke naam ka baahar board lagaa hai..
Dono toote daanton se muskuraate hain ..

Tujhe der ho gayi ghar aate aate..
Bitiya, bahut der..



11 comments:

Unknown said...

बहुत खूब

Vidisha Barwal said...

beautifully sad!

aaditya said...

Soulful...

Ankur Srivastava said...

mesmerizing :')You are amazing!

Aruna P Khot said...

dil ko choo jaati hain tumhari har kavita. Mujhe bhi ateet mein jana hai aur kucch logon se baatein bhi karani hai. Lekin mein tumhari tarah likh nahi pati hoon.



Unknown said...

wah.....

Unknown said...

Wow!! Kitni khoobsurat! Aisa lagta hai mein apne to jee rahi hoon aapki kavitaoṅ se!

Anshu Bhatia said...

Maa ke naam pe sookhi tulsi aur babuji ke naam ka board dono toote daanton se muskurate hain....kya likh diya bhai....lajawab

Preet said...

Heart wrenching...

Preet said...

Heart wrenching...

The Myth said...

Maa ke naam par sookhi tulsi .... Waah !!! Kya baat ...

Aakhir mein hila daala aapne...