Kal raat baarishon mein kuchh kami rahi..
Kal raat baarishein meri aankhon mein thami raheen..
Kuchh sookha kuchh geela tha aankhon mein meri..
Shikaayat jaise koi palkon par jami rahi..
Barson baad ghar kholaa to seelan thi andar..
Khushk mausam they magar yaadon ki nami rahi..
Koun kehta hai maangne se milta hai aasmaan..
Sadiyon tak aasmaan ki talaash mein ye zameen rahi..
Naa koi dard naa hi sahejeen kahaaniyaan humne..
Itne they hoshmand ki maasoomiyat bhi nahin rahi..
Unse kehna muqammal na sahi intezaar kiya tha humne..
Kuchh umr bewafaa nikli, aur yun qismat ki bhi kami rahi..
10 comments:
beautiful ...aapki rachnaayein dil ko chhuukey unmein bas jaane wali hain :) !!!
Waah!!!! Anu too good...
Marvelous! :)
My addition:
Baarishon ki bundo.n ki jahaan kami na rahi,
Uss jagah ki yaad bhi kuchh kam haseen nahin
Bahut Badhiya , Anu !
वाकई बहुत खूबसूरत :-)
काश मैं कभी इतनी सुन्दर कविता लिख पाऊं।।।
Barson baad ghar kholaa to seelan thi andar..
Khushk mausam they magar yaadon ki nami rahi..
बहुत खुबसूरत !!!
Quite a deep meaning, heart touching composition.
बहुत ख़ूब
Bahut khoob.
beautiful again :)
Post a Comment