February 15, 2014

Woh Shakhs..



Muskuraane ki aadat se waaqif hain aaine bhi..
Dard mein bhi dikhta hai khilaa khilaa sa woh shakhs..

Chehre ki rangat kahaan raaz chhupaati hai..
Mitti ke roop rang mila mila sa woh shakhs..

Behroopiye jaisi lakeerein aur zindagi dhokebaaz..
Khud apni bewafaayi ka sila sila sa wo shakhs..

Kis ko kahe, roye, kis se shikwa kare..
Khud apni aankhon se behta gilaa* gilaa sa woh shakhs..

Duniya bhar ki rivaayatein, rehmatein apne sar..
Aur naa-kaamyaabi se chhilaa chhilaa sa wo shakhs..

Gairon ke reham par kiraaye ka ek makaan..
Puraani diwaaron sa hilaa hilaa sa woh shakhs..

4 comments:

Vivek Garg said...

Waaahhh.. So nyshh !!

AJ said...

Duniya bhar ki rivaayatein, rehmatein apne sar..
Aur naa-kaamyaabi se chhilaa chhilaa sa wo shakhs..


Khoob :)

Anuradha Sharma said...

Thank you Ajeetabh :)

Ankit Gupta 'Aseer' said...

bahut khub....