March 26, 2014

Zaruri to nahi..



Zaruri to nahi har dard ghazal ho jaaye..
Kuch dard sambhaale jaane ke liye hain..

Zaruri to nahi har aansoon gaalon pe dhulak aaye..
Kuch aansoo sirf sukhaane ke liye hain..

Zaruri to nahi har gilaa lafzon mein simat aaye..
Kuch shikaayatein tanhaa rulaane ke liye hain..

Zaruri to nahi har dost ko dosti bhi aaye ..
Kuch dost dushmani nibhaane ke liye hain..

Zaruri to nahi har sawaal ka jawaab diyaa jaaye ..
Kuch sawaal sirf muskuraane ke liye hain..
 

4 comments:

Anonymous said...

every verse has its own depth.. wonderful.

"Kuch sawaal sirf muskuraane ke liye hain"
Awesome

Vidisha Barwal said...

kuch sawaal sirf muskuraane ke liye hain <3 <3

Rahul tomar said...

Nice..

Sandhya Rathore Prasad said...

Umda