July 5, 2012

Shabd kahaan apne paraaye hote hain ..


Shabd bhi kitne jaalsaaz hote hain naa ..

Hum kehte kya hain, log sunte kya hain ..

Masoom ban ke zehar hothon pe aa theharta hai ..
Koun jaane is paimaane ke iraade kya hain ..

Baat baat mein humein jawaab dena aa gaya hai .. 
Ye behisaab se sawaalon ke maayne kya hain..

Shabd kahaan apne paraaye hote hain ..
Kirdaar nibhaate hain, baaki inse rishte kya hain ..

Sirf shabd hi kya dil ki baat bola karte hain ..
To phir, ye aankhon ke geele mehmaan kya hain..

Rawaan hai meri awaaz, par shabdon se mehroom hai ..
In bejaan ehsaason ke ankahe dard kya hain ..

Poori raat ek khushk awaaz mein simat aayi hai ..
Jo bheegte hain dil mein, wo qatre kya hain ..

Main naraaz hoon inse, ye hairaan hain mujh par ..
Sochti hoon, shabdon se wafaa ke silsile kya hain ..

3 comments:

1CupChai said...

aahh such a lovely poem, totally loved it!! :) coincidentally I also wrote on a similar topic u might like to give it a look http://memoirsofabrokenbow.blogspot.in/2012/04/blog-post_24.html

Unknown said...

Beutifully written #SKB as usuall :) #jitna padhuun utna padhti jaaun,aisa khinchhaw hai aapke lafzon mein...GB SKB :))

Unknown said...

awesome