August 19, 2012

Aaj phir ..



Aaj phir bediyon mein mera zurm khadaa hai ..
Aaj phir sharmindaa ye jism khadaa hai .. 


Aaj phir hum jawaabon ke munh taakte hain .. 
Har jawaab par ek naya sawaal khadaa hai ..

Aaj phir khud se naaraaz baithe hain ..
Aaj phir dil hairaan khadaa hai ..

Aaj phir raat se panaah maangte hain ..
Aaj phir ek suraj mujhko roke khadaa hai ..

Aaj phir apni nigaah ko parde mein band kiyaa ..
Aaj phir khwaabon ka parindaa bebas khadaa hai ..

Aaj phir awaragi se samjhauta kiya hai ..
Aaj phir mera saaya pareshaan khadaa hai ..

Aaj hi badan par se zindagi ke nishaan utaare hain ..
Ek besharam jism phir apni kahaani liye khadaa hai ..

Aaj phir samandar se aansoo churaaye hain ..
Aaj phir saahil pe mera imaan khadaa hai ..

Aaj phir zameen in haathon mein simatne lagi hai ..
Pairon mein tanhaayi ka aasmaan khadaa hai ..

Aaj phir jeene ki tamanna se ghabraa gaye hain .
Sar pe maut ka bashindaa zidd leke khadaa hai ..

No comments: