August 19, 2012

Abhi naaraaz huun main ..



Abhi zindagi ko khud ba khud sambhalne do .. 

Abhi is se naaraaz huun main ..

Nigaah mein jo baadal hai use zameen par utarne do .. 
Abhi mook huun, hairaan huun main ..

Meri soch ke panchhi ko zara udaan bharne do .. 
Apne daayron se ab pashemaan huun main ..

Haathon ki lakeeron ko ab alvida keh lene do .. 
khud se bewafaa ek naam huun main ..

Lafzon ki shatranj pe jazbaat nilaam karne do .. 
Apni hi beparwaahi ka anjaam huun main ..

Waqt ko yun hi bikhar bikhar kar chalne do .. 
Kismat ki zidd se pareshaan huun main ..

In hasraton ke shehar sehme sehme rehne do .. 
Tanhaayion se zyaada aabaad huun main .. 

No comments: