October 14, 2012

Ye kya sach mein apne hain..


Dil sochtaa hai to sochtaa hi reh jaata hai .. 
Ye jo apne hain kya sach mein apne hain ..

Ye jo mujhe duniya ki reet samjhaate hai .. 
Ye dost meharbaan kya sach mein apne hain ..

Zamaane ke darr se mere sapno ko daraate hain .. 
Mujhe dil-o-jaan se chaahne waale ye kya sach mein apne hain ..

Udnaa chaahun to mere toote pankh ginwaate hain .. 
Mere mukkadar ke haami ye kya sach mein apne hain ..

Main manzil ki aur dekhti hun, wo raah ke kaante dikhaate hain .. 
Mere safar ke humraahi kya sach mein apne hain ..

Waqt bewaqt mujhe waqt ka taqaaza dete hain .. 
Har waqt ke ye saudaagar kya sach mein apne hain ..

Rishton ki chaadar hai ya kafn hai mere armaanon par .. 
Mere janaaze pe rote hue mere hamdard mere apne ..

.. Ye kya sach mein apne hain ..

4 comments:

Unknown said...

Wah... Really Nice, Ma'am.....!!

Aadii said...

Well written! :)

"apne kya, paraye kya, sab rang hain ek se.. kachche sab dhaage hain, ye bandh hain ret ke.."

Rimple said...

ye sab bas kehne ko apne hain..

Unknown said...

Beautiful :)