February 24, 2013

main radha..


nadiya paar shri krishna khade,
mand mand muskaaye..
main radha, kis vidh milun,
kuch to khoj upaaye..

mann ka mail kaise utaarun,
sabun diyo bataaye..
main radha, bheer udaasi,
koi to krishn milaaye..

prabhu prem mein doobi 'main',
jamuna mein chhalaang lagaaye..
main radha, shri krishn ki daasi,
mohe krishn bachaane aaye..

February 16, 2013

Love Birds


suno meri baat suno..
idhar baitho..
chai aaj thandi ho gayi thi..
arre sun rahi ho..?
kahan jaa rahi ho
idhar baitho, baitho idhar..
suno..
maine kaha chai thandi ho gayi thi..
na na doosra cup nahi chaahiye..
maine maanga kya doosra cup..?
tum suno..
arrey hadd ho gayi..
baith jaao zara..
dekho..
chai thandi thi aur biskut itne sakht..
chai laayi thi to mujhe utha toh deti..
bas rakh ke chali gayi..
main akhbaar padhte padhte so gaya tha..
phir maine aawaaz di to chhoti ko bhej diya..
pta nahi kahan se naye naye log le aati ho..
main kya ab chhoti se bolunga chai ke liye..
tum nahi aa sakti thi..
tumse ek kaam theek se nahi hota..
itna kya kaam mein busy thi..
chai thandi ho gayi thi..

oh! aap bhi na..
bol dete use ..
main aayi thi chai dene..
do baar uthaaya bhi..
itne mein doodhwaala aa gaya hisaab karne ke liye..
drawer se paise lene gayi to dekha aapki dawaai khatam ho gayi hai..
chhoti ko bola aapki dawaai le aane ke liye..
ek to use kuch samajh nahi aata..
ek ek dawaai ka naam likhwana pada..
abhi likhwa hi rahi thi..
ki yaad aaya aapki shirt mein button taankne they..
wo taanke to saamne aapki shaam ki sair ke joote dekhe..
haaye pata nahi kaha mitti mein saan kar laate ho..
wo saaf kiye..
wo kar hi rahi thi ki tabhi yaad aaya..
stove pe soup ubal raha tha..
use dekhne bhaagi..
bas usi samay aapne aawaaz lagaayi..
to main kya karti ..
itna kaam tha kitchen mein..
soup mein bhi to perfection chaahiye hoti hai huzoor ko..
to bol diya chhoti ko, ki bazaar baad mein jaana..
pehle puchh aao ki kya chaahiye ..
bataao kya karti main..
aur biskut sakht nahi they..
tumhaare daanton mein waise hi dard hota hai..
appointment banwa di hai maine..
agle hafte chale jaana..
uff..
chai thandi ho gayi thi to phir bana deti hun..
itna sab karti huun ..
wo to kisi ko dikhta hi nahi..

dikhta hai..
sab dikhta hai..
aao..
tum idhar baitho..
aur jitni marzi shikayatein karo..
main sununga..
sab sununga..
aur suno main kya kehta huun..
mujhe chai thandi hi achhi lagti hai..
garam to sirf tumhara gussa hi theek hai..
achha achha mazaak kar raha tha..
aur suno..
shaam ko das minute baith jaya karo mere paas..
mujhe soup nahi..
bas tum chaahiye ho..



February 15, 2013

chaand bhulaane baithe hain..



Aankhon se chaand bhulaane baithe hain..
Is chaand pe magar daag puraane baithe hain..

Shehar mein bahut dil lubhaane baithe hain..
Hum hain ki ik beparwah pe jaan lutaane baithe hain..

Tanhaa chaand se ishq nibhaane baithe hain..
Apne gilon shikwon ko aaj ginwaane baithe hain..

Aankhon mein bezubaan afsaane baithe hain..
Baarishon ko bhi aaj rulaane baithe hain..

Naye ghamon se dooriyan badhaane baithe hain..
Zehan mein abhi kitne dard puraane baithe hain..

Pighli hui raaton ke khwaab jalaane baithe hain..
Jalte hue suraj ki pyaas bujhaane baithe hain..

 

December 29, 2012

tum chali gayi ho Damini..



tum chali gayi ho Damini..
bina bataaye chali gayi ho..
badi behan huun tumhaari..
mujhe bina rulaaye chali gayi ho..

duppatta maila kiya is desh ne..
to safed chaadar odh ke chali gayi ho
apne rang dekhne they tumhe abhi..
tum mujhe berang kar ke chali gayi ho..

tumhaara har ek aansoo jo nahi bhi giraa tha..
uske qatre meri aankhon mein rakh chali gayi ho..
tum mujhe nahi jaanti ho meri behna phir bhi..
tum mujhe sharminda kar ke chali gayi ho..

abhi to chhutki, tumhara kanyadaan baaki tha..
tum balidaan de ke chali gayi ho..
na gehna na zevar, bas laal rang pehne hue..
bina doli mein baithe chali gayi ho..

tum thehro main sambhaalungi tumhe.. 
dard samjhungi..tumhaari hi kahaani sunaaungi tumhe..
tum kyon bina shikaayat kiye chali gayi ho..

ab apne paas rakhungi tumhe..
ab bahut waqt hai.. na, na .. aise nahi vidaa karungi tumhe..
tum kyon bina gale lagaaye chali gayi ho..

arrey, antim vidaai ka bhi ek saliqaa hota hai..
tum kaise hum sab par muskuraa ke chali gayi ho..

==

Rest In Peace, Damini. 
We are also resting in peace.



December 27, 2012

Shaam Saloni..



Aaj phir naa aaya chaand waqt par.. 

Shaam phir budbudaa ke reh gayi ..

Intezaar mein raat ki neend bhi chhooti .. 
Shaam ki pari gusse mein gurra ke reh gayi..

Ye chaand gora hai to kya itna akdega.. 
Shaam saloni kasmasaa ke reh gayi ..

Bekar gaya chameli ka itr aur ye naya laal dupatta .. 
Shaam ki shokhiyaan chidchida ke reh gayi ..

Gali mein nikal aaya chaand, chaand apne ghar aayega.. 
Shaam ki sharmeeli chidiya aur sharmaa ke reh gayi..

December 26, 2012

Tere liye..




Tinka tinka jutaaya khud ko zindagi ke liye .. 
Lutaa diya khud ko teri bandagi ke liye.. 


Shehar mein tujh sa deewana koi bhi nahi..
Ishq bhi tujhpe kurbaan hai teri saadgi ke liye..

Yun har pal saikdon baar tujhe paaya hai khud mein.. 
Yun waqt o kaaynaat bhi kam hai aashiqui ke liye .. 


Mujh mein mukkammal tha mera chaand muddaton tak .. 
Phir ek umr bitaayi teri saanson ki chaandni ke liye..



December 25, 2012

seedhe seedhe..



Kya zindagi ke badle roz jaan le lete ho meri.. 

Jitnaa waajib ho utnaa daam maango na..

Tabiyat zaraa nasaaz rehti hai aajkal.. 
Kya haal hai mera ye hisaab maango na..

Kyon dil mein ruke ruke sawaal rakhte ho.. 
Jo bhi chaahiye wo khule-aam maango na..

Kyon chhoti moti baaton ke liye tokte ho mujhe.. 
Chahiye to seedhe seedhe meri jaan maango na..

December 24, 2012

Sab chaahte hai milnaa ek aise dost se..



Sab chaahte hai milnaa ek aise dost se.. 

Jo dard samajhta to ho par samjhaata naa ho..


Din mein waqt ki taal pe chaahe chaltaa rahe.. 
Ratjagon mein waqt ka naam laata na ho..


Khud se bhi chhupaa le wo apne saare raaz.. 
Deewaana ho mera, par kehlaata na ho..


Main beet jaaun, umr reh jaaye uski.. 
Us se bichhadne ka darr mujhe sataata na ho..


Meri har shikaayat pe yun dil lutaata ho.. 
Main bhejun bhi usko, to wo jaata naa ho..


Mujhe mehfil mein bethaa hue dekhe aur dekhtaa rahe.. 
Dil jalta ho uska, par wo mujhe bulaata na ho..

Girne de wo mere aankhon se aansoo.. 
Jhooth keh ke mera dil behlaata na ho..

December 23, 2012

Ab bas ek deewaar baaki hai..



Ek ghar hua karta tha yahaan.. 

Ab bas ek deewaar baaki hai..

Darwaaza pe nahi koi dastak magar.. 
Abhi sadiyon ka intezaar baaki hai..

Chuulhe pe ab sikti nahi chaand ki rotiyaan.. 
Ab wahaan raakh ke kuch nishaan baaki hain..

Wo tulsi jo sirf maa ke haathon hi paani piya karti thi.. 
Uske patton pe ab bhi pyaas baaki hai..

Wo ek kambal jisme chheh angoothe aapas mein ladaa karte they.. 
Usme bachpan ki yaadon ka saamaan baaki hai..

Chaarpaayi ki rassi kaste kaste chaarpaayi pe hi dher ho gaye..

Us boodhe baap ko bolo, abhi manjhli di ka kanyadaan baaki hai..

Painting by : Vinayak Gokhale

December 22, 2012

Mujhe aadat hai..


Sookhe hue aansuuon ke jazbaat nahi hote..
Mujhe rone ki aadat hai mujhe manaao mat..

Khwaabon se ladaai bhi, khwaabon ki zidd bhi..
Mujhe sone ki aadat hai mujhe uthaao mat..

Aaina churaa le gaya hai aks mera..
Mujhe khone ki aadat hai, mujhe bulaao mat..

Ek hasrat bas raat ko hi haqiqat banti hai..
Mujhe andhere ki aadat hai roshni jalaao mat..

Aatishbaazi khoob ho chuki hain mere armaanon ki..
Mujhe tadapne ki aadat hai mujhe behlaao mat..

Apni rooh mein samandar chhupa rakha hai maine..
Mujhe doobne ki aadat hai mujhe bachaao mat..

Har baar ek nayi intehaa kaayam hoti hai dard ki..
Dil jalaane ki aadat hai mujhe, mujhe samjhaao mat..

Hathkadiyaan is baar zaraa lambi lagii hain..
Marne ki yun bhi aadat hai mujhe, zinda magar dafnaao mat..

December 21, 2012

Ek mulaakat abhi baaki hai..




Subah ho gayi magar ye haseen raat abhi baaki hai..
Mere khwaabon se taaza taaza nikli .. ek mulaakat abhi baaki hai..

Raat ke khwaabon ne dhoka diya ki tu aas paas hai..
Subah ki pehli karwat mein tera ehsaas abhi baaki hai ..

Tere ankahe izhaar is kamre mein behte hain narm se..
Taakte hai mujhko, ki mere ikraar abhi baaki hai ..

Mez pe rakhi kitaab mein tere naam ka phool rakh ke soye the..
Us gulaab ko bhi tera deedaar abhi baaki hai ..

December 19, 2012

Kahaan hain




Kahaan hain wo haathon ki lakeerein ..
Barson se jin mein tumhaare naam ki kahaaniyan chhupaayeen thi ..

Kahaan hain wo chaand taaron si taqdeerein ..
Sadiyon se jinke liye maine aankhon mein raatein basaayi thi .

Kahaan hain wo yaadon ke mulaayam pashmine ..
Pichhli baar tere jaate hi jo rooh se lipat aaye the..

Kahaan hain wo saawan ke do reshmi mahine ..
Jahaan tumne mujhe ek geele se jhoole par jhoole jhulaaye the ..

Kahaan hai wo sulagti thandi baarishein ..
Jis ke paani mein khwaabon ke safeene chalaaye the ..

Ye shaayar kism ke log..



Lafzon se behlaa lete hain gham e dil apna..
Ye shaayar qism ke log bade samajhdaar hote hain..

Chot khaa to lete hain par kabhi bhoolte nahi..
Dil, in shaayaron ke, bahut khuddaar hote hain..

Ye puraani maasoom yaadon ka kaagaz par khoon bahaate hain..
Ye shayar bina jurm kiye bhi gunahgaar hote hain..

Safed chaadron ke beech baith ke rangeeniyat bechte hain..
Ye shayar, jism-o-rooh nahi sirf kirdaar hote hain..

Kisi ke dil ki suni to apni bhi kahaani pe ro pade..
Ye shayar log khaamkhwaah bewajah aur bekaar hote hain.

Na ghar ki dehleez se rishta na darwaaze pe koi dastak..
Ye shayar khud se bhi dastbardaar* hote hain..

Liye chalte hain bagal mein badnaami ka ijaazat-naama ..
Ye shayar khud apni hi tabaahi ke zimmedaar hote hain..

Maut haasil hone se pehle hi zindagi rihaa kar dete hain..
Ye shayaraana log bahut laa-parwaah hote hain..

*abandoned

yun zamaane beete..



Hansti to main roz huun magar..
Muskuruaaye hue zamaane beete..

Wo lamha ki jab fursat se aasmaan nihaara ho ..
Chaand se wafaa nibhaaye hue zamaane beete..

Aankhon ne kaajal se roz baatein ki hain..
Hothon pe lafz sajaaye hue zamaane beete..

Khwaab palkon pe rakhkhe rehte hain..
Khwaabon ko aansuon se nehlaaye hue zamaane beete..

Jism ki rangeeniyaan khuub looti hai magar..
Rooh mein doob ke aaye hue zamaane beete..

December 15, 2012

Chale aao ..



Waqt beeta jaata hai tere ek bahaane mein..
Kya mazaa aata hai mujhe sataane mein ..

Kho aayi apni zindagi ek tujhe manaane mein..
Tumhaare siwaa ab kuch nahi mera is zamaane mein ..

Rooth gaye tum mujhse, galat ko sahi banane mein..
Main haar gayi khud ko ek tujhe samjhaane mein ..

Ab bhi waqt hai kya, ankahe waade nibhaane mein..
Meri madad karo, tum ko tumse churaane mein ..

Ek shabd hi shabad ban gaya ho tera naam bulaane mein..
Chale aao ki ab aayatein hai har saans ke paimaane mein ..

kash pe kash..




dhuen mein udaa raha hai gham ke anginat kisse..
kahin door ek dil jalaa zindagi phoonk raha hai ..

raakh girti jaati hai yaadein jalti jaati hain..
ek puraana geela saawan dil mein sookh raha hai..

aankhon mein jalan ke saikdon bahaane rakhkar..
kash pe kash laagaye wo sab kuch bhool raha hai ..

Chalo na..


Suna hai peer baba ki dargaah par sab muraadein poori hoti hain..

Bichhde milte hain ..
Chalo na wahan sar tek kar aate hain ..

Suna hai us mandir ki ghantiyaan jab bajti hain..
Swarg lok tak aawaaz jaati hai ..
Chalo na wahan diya jala aate hain ..

Suna hai us church mein candle jalteen hain..
To kahin baarish hoti hai ..
Chalo na apni hasratein bhi waheen chair par rakh aate hain ..


Wo ladki kab se..


वो लड़की कब से बारिश का इंतज़ार करती है..
दोनो सहेलियाँ फिर मिल के रो लेती हैं .. 

अपनी आँखों में बादल का कजरा लगा कर..
बरसते पानी में अपने आँसू धो लेतीं हैं.. 

आसमानी बूँदों में अपनी कहानी छुपा कर..
अपने सारे दर्द ज़मीन में बो देतीं हैं.. 

तरसती थीं आँखें एक ज़रा सी नींद को..
गीली पलकों में अब सारी सदियाँ सो लेतीं हैं.. 

पायलें जब बात करती हैं पानी के घरौंदों से..
गिले शिकवे सारे पानी में खो देतीं हैं..

यूँ बाँट लेतीं हैं दुख सुख  वो अपने..
अपने किस्से पर मुस्कुरा देतीं हैं.. 
दूसरी की दास्तान पर रो देतीं हैं..


Wo ladki kab se baarish ka intezaar karti hai..
Dono saheliyaan phir mil ke ro leti hain ..

Apni aankhon mein baadal ka kajra lagaa kar..
Baraste paani mein apne aansoo dho leteen hain..



Asmaani boondon mein apni kahaani chhupaa kar..
Wo apne dard zameen mein bo deteen hain.. 



Tarasti theen aankhein ek zara si neend ko..
Geeli palkon mein ab saari sadiyaan so leteen hain.. 



Payalein jab baat karti hain paani ke gharaundon se..
Shikwe gile saare paani mein kahin kho deteen hain..



 yun baant leteen hain dukh sukh wo apne..
Apne kisse par muskura deteen hain.. 
Doosri ki daastaan par ro deteen hain..

Koi tum jaisa kyon nahi hai is duniya mein ..



Pal mein maasha pal mein tola .. 

Thandi si dhoop aur jalte chaand jaisa.. 
Kuch kuch mausam jaisa hai tujh mein ..

Baadalon sa garajta hai tu .. 
Jam ke barasta hai tu .. 
Kuch kuch saawan jaisa hai tujh mein ..


Kabhi phool phool hansta hai .. 
Kabhi hari shaakhon pe jaa basta hai tu .. 
Kuch kuch jaisa bahaar hai tujh mein .


Kabhi lehron sa ufanta hai tu .. 
Kabhi apni hi gehrai mein jaa chhupta hai tu .. 
Kuch kuch samandar jaisa hai tujh mein ..


Meri puraani shaal jaisa lipat aata hai tu .. 
Kabhi hawa sa kaano mein gungunaata hai tu .. 
Kuch kuch raat jaisa hai tujh mein ..


Kabhi meri yaadon mein bheegta hai tu .. 
Kabhi meri ungliyaan choomta hai tu .. 
Kuch kuch barsaat jaisa hai tujh mein ..


Mere har rang mein rang jaata hai tu .. 
Meri har saans mein samaa jaata hai tu .. 
Kuch kuch ishq jaisa hai tujh mein .. 

Mandir mein diye sa jalta hai tu .. 
Mere labon par dua ban ke aa theharta hai tu .. 
Main bolun gar to shaayad gunaah hoga..
par kuch kuch Rabb jaisa hai tujh mein ..

Sochti huun hairaan hoti huun..
Jaanti huun phir bhi puuchhti huun..
Koi tum jaisa kyon nahi hai is duniya mein ..

Aankhon ki saraay mein..



Aankhon ki saraay mein aa baithaa hai..

Ek shakhs bina kiraaye aa baitha hai.. 

Gaalon pe bikhri laali mein uska ehsaas hai..

Wo meri har sharm pe haq jamaaye baithaa hai..

Mere hothon par uske naam ke paigaam hain..
Labon ki nami mein khud ko bheegaaye baithaa hai..

Do heere ke boonde khareed laaya hai kahin se..
Mere kaanon mein aaj chaand sajaaye baithaa hai.. 

Haan, maine galtiyaan ki hain..



Haan, maine galtiyaan ki hain.. 

Maine zindagi zaraa khul ke jii hai..

Jeb mein paise nahi they aur khwaab bhar liye.. 
Sitaaron se aage ki bhi ticket khareedi hai..


Bin daakiya kismat ko ek khat bhejaa hai.. 
Postage ki jagah bas prayers chipkaa di hain..


Baadalon se dosti karne ka mood hua to .. 
Baarishein saari aankhon mein bhar leen hai..


Aasmaan mein udne ko pankh kahaan se laati.. 
Neeli nadi uuk banaa ke pii li hai..


Raat ne uksaaya chaand ki dali todne liye .. 
Ek chakh mishri maine bhi khaa ke dekhi hai..

November 1, 2012

Sirf tumhaare liye..



Ye dekho mere takiye pe do khwaab rakhe hain.. 

Tumhaare sawaalon ke saare jawaab rakhe hain..

Yun meri duaaon ka noor bhi hai aasmaan mein..
Lagta hai raat ke aagosh mein, aaj do mehtaab rakhe hain..

Har pal meri nigaah dhoondti hai tumhaari nigaah ke lams.. 
Meri aankhon mein kuch armaan, bahut betaab rakhe hain..

Tum aaoge aur maangoge apne hisse ki daulat.. 
Isliye har din aur raat ke saare hisaab rakhe hain..

Ye jo chaahaton ki puuri kitaab uthaa laaye ho.. 
Mere paas bhi khwaaishon ke panne, behisaab rakhe hain..

Jaanti huun tumhe phoolon ka shauk nahi..
Phir bhi sirf tumhaare liye, ye hothon ke gulaab rakhe hain..

October 31, 2012

In aankhon mein aaj..

In aankhon mein aaj..

Do raat ki baasi neendein hai..
Kuchh khwaabon ka chuura .. 
Ek dil tootne ki aawaaz .. 
Aur ek chaand adhuura.. 

Bediyon se sawaal hain.. 
Aadhe adhhure jawaab hain.. 
Udhde udhde kisse hain.. 
Aur ek kadwi si sharaab hai.. 

 Duniya hai dard hain.. 
Ek puraana mausam zard hai.. 
Raat ka sannaata hai.. 
Tanhaayi bahut hi sard hai..

Ek udaas si baarish hai..
Waqt ki tez saazish hai.. 
Hum bhi ro lein do pal ke liye.. 
Badi maasoom si khwaaish hai.. 

Nigaah ke har panne par tere nishaan hain..
Sehme sehme sapno ka khaali khaali makaan hai..
In aankhon mein aaj ..
Bahut saare nanhe mehmaan hain.. 


October 29, 2012

Kahin raaste par mili mujhe zindagi..




Kahin raaste par mili mujhe zindagi..
Main bhi zidd mein rahi ki nahi hi milungi..

Mujhe apne gham se fursat kahaan ki iski aur dekhun ..
Mehmaan-nawaazi ki bhi haqdaar nahi zindagi ..

Main apne chaand-taaron baadalon mein hi khush huun..
Mujhe nahi chaahiye ab ye daulat-e-zindagi..

Jaa ke padhe zaraa meri puraani diary ke panne..
Jab khwaab toot rahe they, tab kahaan thi zindagi..

Aaj bin mausam barsaat barasne aayi hai mujh par..
Jab aansuon se bheeg rahi thi main, tab kahaan thi zindagi..

Khud ke jee mein aaya tab milne aayi hai..
Abhi tak kahaan thi ye abhimaani zindagi..

Wo bhi waqt tha jab dost bhi duniya ho gaye..
Main pareshaan hairaan khadi thi, tab kahaan thi zindagi...

Maine marna seekh liyaa to jal bhun gayi hai..
Jab dard se pukaara tha, tab kahaan thi zindagi..

Beinteha tanhaaiyon mein akeli rahi hoon..
Tab nahi aayi to ab kyun aayi hai zindagi..

Main zidd mein huun ki nahi hi milungi..
Mujh se gale lipat ke rone aayi hai zindagi..

October 14, 2012

Ye kya sach mein apne hain..


Dil sochtaa hai to sochtaa hi reh jaata hai .. 
Ye jo apne hain kya sach mein apne hain ..

Ye jo mujhe duniya ki reet samjhaate hai .. 
Ye dost meharbaan kya sach mein apne hain ..

Zamaane ke darr se mere sapno ko daraate hain .. 
Mujhe dil-o-jaan se chaahne waale ye kya sach mein apne hain ..

Udnaa chaahun to mere toote pankh ginwaate hain .. 
Mere mukkadar ke haami ye kya sach mein apne hain ..

Main manzil ki aur dekhti hun, wo raah ke kaante dikhaate hain .. 
Mere safar ke humraahi kya sach mein apne hain ..

Waqt bewaqt mujhe waqt ka taqaaza dete hain .. 
Har waqt ke ye saudaagar kya sach mein apne hain ..

Rishton ki chaadar hai ya kafn hai mere armaanon par .. 
Mere janaaze pe rote hue mere hamdard mere apne ..

.. Ye kya sach mein apne hain ..